Fareb-e-zat Ke Dilkash Buton Ko Kis Ne Yun ToDa, Urdu Ghazal By Anees Sultana

Fareb-e-zat Ke Dilkash Buton Ko Kis Ne Yun ToDa is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anees Sultana. Fareb-e-zat Ke Dilkash Buton Ko Kis Ne Yun ToDa comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Fareb-e-zat Ke Dilkash Buton Ko Kis Ne Yun ToDa on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

فریب ذات کے دل کش بتوں کو کس نے یوں توڑا

انیس سلطانہ

فریب ذات کے دل کش بتوں کو کس نے یوں توڑا

ہمیں تھے جس نے ہستی کے حقائق سے نہ منہ موڑا

در حسرت یہ کیا تکتا ہے اے دل نو بہ نو جلوے

کسی کی سرفرازی دیکھ کر کریے نہ دل تھوڑا

یہ غم کیا کم ہے اے ہمدم کہ بستی کے غزالوں کو

ابھی دشت تغافل کی تمنا نے نہیں چھوڑا

نئی دیوار اٹھا کر ہم یہ سمجھے دل بدل ڈالے

مگر بنیاد کے پتھر نے وہ رشتہ نہیں توڑا

مقدر سے شکایت کب تلک کریے انیسؔ آخر

تمہیں پاس تکلف نے کسی قابل نہیں چھوڑا

انیس سلطانہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Fareb-e-zat Ke Dilkash Buton Ko Kis Ne Yun ToDa

Anees Sultana

fareb-e-zat ke dilkash buton ko kis ne yun toDa
hamin the jis ne hasti ke haqaeq se na munh moDa

dar-e-hasrat ye kya takta hai ai dil nau-ba-nau jalwe
kisi ki sarfaraazi dekh kar kariye na dil thoDa

ye gham kya kam hai ai hamdam ki basti ke ghazalon ko
abhi dasht-e-taghaful ki tamanna ne nahin chhoDa

nai diwar uTha kar hum ye samjhe dil badal Dale
magar buniyaad ke patthar ne wo rishta nahin toDa

muqaddar se shikayat kab talak kariye 'anis' aaKHir
tumhein pas-e-takalluf ne kisi qabil nahin chhoDa

(571) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Fareb-e-zat Ke Dilkash Buton Ko Kis Ne Yun ToDa written by Anees Sultana at UrduPoint. Fareb-e-zat Ke Dilkash Buton Ko Kis Ne Yun ToDa is one of the masterpieces written by Anees Sultana. You can also find the complete poetry collection of Anees Sultana by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anees Sultana' above.

Fareb-e-zat Ke Dilkash Buton Ko Kis Ne Yun ToDa is a widely read Urdu Ghazal. If you like Fareb-e-zat Ke Dilkash Buton Ko Kis Ne Yun ToDa, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.