Jab Nigahon Ke Ishaare Raqs Karte Hain, Urdu Ghazal By Anukriti Kumar

Jab Nigahon Ke Ishaare Raqs Karte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anukriti Kumar. Jab Nigahon Ke Ishaare Raqs Karte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jab Nigahon Ke Ishaare Raqs Karte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جب نگاہوں کے اشارے رقص کرتے ہیں

انوکرتی تبسم

جب نگاہوں کے اشارے رقص کرتے ہیں

تب دلوں میں بھی شرارے رقص کرتے ہیں

عاشقی میں سب بچارے رقص کرتے ہیں

عشق میں برباد سارے رقص کرتے ہیں

وصل کی اس اک گھڑی کے جشن میں اکثر

آسماں پر سب ستارے رقص کرتے ہیں

راستے سے جب بھی گزرے یار میرا تب

میرے گھر کے سب منارے رقص کرتے ہیں

ڈوبتی کشتی کبھی جب پار ہوتی ہے

ساتھ لہروں کے کنارے رقص کرتے ہیں

تجھ کو دیکھیں ہم تبسمؔ یا انہیں دیکھیں

دیکھ کر تجھ کو نظارے رقص کرتے ہیں

انوکرتی تبسم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jab Nigahon Ke Ishaare Raqs Karte Hain

Anukriti Kumar

jab nigahon ke ishaare raqs karte hain
tab dilon mein bhi sharare raqs karte hain

aashiqi mein sab bichaare raqs karte hain
ishq mein barbaad sare raqs karte hain

wasl ki us ek ghaDi ke jashn mein aksar
aasman par sab sitare raqs karte hain

raste se jab bhi guzre yar mera tab
mere ghar ke sab manare raqs karte hain

Dubti kashti kabhi jab par hoti hai
sath lahron ke kinare raqs karte hain

tujh ko dekhen hum 'tabassum' ya inhen dekhen
dekh kar tujh ko nazare raqs karte hain

(790) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jab Nigahon Ke Ishaare Raqs Karte Hain written by Anukriti Kumar at UrduPoint. Jab Nigahon Ke Ishaare Raqs Karte Hain is one of the masterpieces written by Anukriti Kumar. You can also find the complete poetry collection of Anukriti Kumar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anukriti Kumar' above.

Jab Nigahon Ke Ishaare Raqs Karte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jab Nigahon Ke Ishaare Raqs Karte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.