Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath, Urdu Ghazal By Anwar Dehlvi

Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Anwar Dehlvi. Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آنکھیں دکھائیں غیر کو میری خطا کے ساتھ

انور دہلوی

آنکھیں دکھائیں غیر کو میری خطا کے ساتھ

مطلب ادا وہ کرتے ہیں اور کس ادا کے ساتھ

شوخی نگہ کے ساتھ تغافل جفا کے ساتھ

عشاق پر ہجوم بلا ہے بلا کے ساتھ

آخر ہوا نہ ضبط شب وصل مدعی

نالہ نکل گیا مری لب سے دعا کے ساتھ

تیرے ستم سے مجھ کو ملا منصب کلیم

اک وجہ گفتگو نکل آئی خدا کے ساتھ

تیرا حجاب اٹھتے ہی آیہ وہ ناگہاں

دشمن کے پاؤں کھل گئے بند قبا کے ساتھ

میں کیا کہ دشمنوں کی بھی قسمت الٹ گئی

ترچھی ادائیں اور تیری بانکی ادا کے ساتھ

راہ طلب میں شوق کی منظور ہے نمود

مٹتے قدم قدم پہ چلے رہنما کے ساتھ

یا رب غلط ہو فہم کج اندیش کا گماں

کچھ کہہ رہا ہے ان سے عدو التجا کے ساتھ

دیتے نہیں کسی کو پتہ اپنے حال کا

بیگانہ بن کے چلتے ہیں ہر آشنا کے ساتھ

مے بے طلب ملی تو ہوئی یار کی طلب

بندوں کے ناز بھی ہیں نرالے خدا کے ساتھ

جوش قلق میں دیکھیے کیا مانگتا ہوں میں

یاروں کے دم نکلتے ہیں میری دعا کے ساتھ

گھر سے مجھے نکالتے رہئے پر اس طرح

گہ مدعی کے ساتھ گہے مدعا کے ساتھ

کیوں شوق میں گرائیے ساتھ اپنے شان عشق

اغماض بھی ضرور ہے کچھ التجا کے ساتھ

کہتا ہوں یہ نصیب نہ دشمن کو ہو فراق

آ میں وہ کہتے جاتے ہیں میری دعا کے ساتھ

لیلیٰ کا نام زندہ ہے اب تک جہاں میں

تم بھی نباہ دو کسی اہل وفا کے ساتھ

پھرتے ہی اس کی آنکھ کے وابستہ تر ہوا

میں دل کے ساتھ دل نگہ فتنہ زا کے ساتھ

ہم عالم خیال میں کچھ بھی نہ خوش ہوئے

ہے رشک غیر یاد لب جاں فضا کے ساتھ

اب تو بڑا خیال تیری رنجشوں کا ہے

محشر میں دیکھ لیں گے خدا کی خدا کے ساتھ

کہتا ہے ڈر کے ہاتھ وفا سے اٹھا لیا

دشمن کی بات بن گئی میری دعا کے ساتھ

آتا ہے بوئے دوست میں کافر بسا ہوا

قاصد بھی اک رقیب ہے اپنا صبا کے ساتھ

کیا ڈھونڈھتے ہو دہر میں انورؔ جمال دوست

چندے پھرو چلو کسی مرد خدا کے ساتھ

انور دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath

Anwar Dehlvi

aankhen dikhain ghair ko meri KHata ke sath
matlab ada wo karte hain aur kis ada ke sath

shoKHi nigah ke sath taghaful jafa ke sath
ushshaq par hujum-e-bala hai bala ke sath

aaKHir hua na zabt shab-e-wasl muddai
nala nikal gaya meri lab se dua ke sath

tere sitam se mujh ko mila mansab-e-kalim
ek wajh-e-guftagu nikal aai KHuda ke sath

tera hijab uThte hi aaya wo na-gahan
dushman ke paon khul gae band-e-qaba ke sath

mein kya ki dushmanon ki bhi qismat ulaT gai
tirchhi adaen aur teri banki ada ke sath

rah-e-talab mein shauq ki manzur hai numud
miTte qadam qadam pe chale rahnuma ke sath

yarab ghalat ho fahm-e-kaj-andesh ka guman
kuchh kah raha hai in se adu iltija ke sath

dete nahin kisi ko pata apne haal ka
begana ban ke chalte hain har aashna ke sath

mai be-talab mili to hui yar ki talab
bandon ke naz bhi hain nirale KHuda ke sath

josh-e-qalaq mein dekhiye kya mangta hun main
yaron ke dam nikalte hain meri dua ke sath

ghar se mujhe nikalte rahiye par is tarah
gah muddai ke sath gahe muddaa ke sath

kyun shauq mein giraiye sath apne shan-e-ishq
aghmaz bhi zarur hai kuchh iltija ke sath

kahta hun ye nasib na dushman ko ho firaq
aa main wo kahte jate hain meri dua ke sath

laila ka nam zinda hai ab tak jahan mein
tum bhi nibah do kisi ahl-e-wafa ke sath

phirte hi us ki aankh ke wabasta-tar hawa
main dil ke sath dil nigah-e-fitna-za ke sath

hum aalam-e-KHayal mein kuchh bhi na KHush hue
hai rashk-e-ghair yaad-e-lab-e-jaan-faza ke sath

ab to baDa KHayal teri ranjishon ka hai
mahshar mein dekh lenge KHuda ki KHuda ke sath

kahta hai Dar ke hath wafa se uTha liya
dushman ki baat ban gai meri dua ke sath

aata hai bu-e-dost mein kafir basa hua
qasid bhi ek raqib hai apna saba ke sath

kya DhunDhte ho dahr mein 'anwar' jamal-e-dost
chande phiro chalo kisi mard-e-KHuda ke sath

(950) ووٹ وصول ہوئے

You can read Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath written by Anwar Dehlvi at UrduPoint. Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath is one of the masterpieces written by Anwar Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Anwar Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Anwar Dehlvi' above.

Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath is a widely read Urdu Ghazal. If you like Aankhen Dikhain Ghair Ko Meri KHata Ke Sath, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.