Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre, Urdu Ghazal By Arjumand Bano Afshan

Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arjumand Bano Afshan. Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ شہر ہے وہ شہر کہ جس میں ہیں بے وجہ کامیاب چہرے

ارجمند بانو افشاں

یہ شہر ہے وہ شہر کہ جس میں ہیں بے وجہ کامیاب چہرے

یہاں سیاست کی آندھیوں نے مٹا دیئے ماہتاب چہرے

فریب کھانا نہ غم اٹھانا نہ ان کے سائے میں منہ چھپانا

ہزار کانٹے چھپائے بیٹھے ہیں شوخ رنگیں گلاب چہرے

کوئی بھی ہمدم نہیں ہے سچا کوئی بھی ساتھی نہیں ہے مخلص

جنہیں تم اپنا سمجھ رہے ہو وہی ہیں خانہ خراب چہرے

کوئی بھی آئینہ رو نہیں جو صداقتوں کی شبیہ دکھائے

خوشامدوں کی نقاب نے سب چھپا دئے بے نقاب چہرے

کوئی نیا درد سونپ دیں گے کوئی نیا زخم ڈال دیں گے

کرن کرن ہیں زہر میں ڈوبے ہیں ظاہراً آفتاب چہرے

جو پڑھ سکو تو خلوص پڑھ لو مری نگاہوں کی سادگی میں

جہاں میں افشاںؔ سے لوگ کم ہیں ہوں جن کے سچی کتاب چہرے

ارجمند بانو افشاں

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre

Arjumand Bano Afshan

ye shahr hai wo shahr ki jis mein hain be-wajh kaamyab chehre
yahan siyasat ki aandhiyon ne miTa diye mahtab chehre

fareb khana na gham uThana na un ke sae mein munh chhupana
hazar kanTe chhupae baiThe hain shoKH rangin gulab chehre

koi bhi hamdam nahin hai sachcha koi bhi sathi nahin hai muKHlis
jinhen tum apna samajh rahe ho wahi hain KHana-KHarab chehre

koi bhi aaina-ru nahin jo sadaqaton ki shabih dikhae
KHushamadon ki naqab ne sab chhupa diye be-naqab chehre

koi naya dard saunp denge koi naya zaKHm Dal denge
kiran kiran hain zahr mein Dube hain zahiran aaftab chehre

jo paDh sako to KHulus paDh lo meri nigahon ki sadgi mein
jahan mein 'afshan' se log kam hain hon jin ke sachchi kitab chehre

(831) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre written by Arjumand Bano Afshan at UrduPoint. Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre is one of the masterpieces written by Arjumand Bano Afshan. You can also find the complete poetry collection of Arjumand Bano Afshan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arjumand Bano Afshan' above.

Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Shahr Hai Wo Shahr Ki Jis Mein Hain Be-wajh Kaamyab Chehre, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.