Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چشمک زنی میں کرتی نہیں یار کا لحاظ

ارشد علی خان قلق

چشمک زنی میں کرتی نہیں یار کا لحاظ

نرگس کی آنکھ میں بھی نہیں ہے ذرا لحاظ

بے گالی اب تو بات بھی کرتے نہیں کبھی

وہ ابتدا میں کرتے تھے بے انتہا لحاظ

تنہا میں اور اتنے وہاں ہیں مرے رقیب

ناز و ادا غمزہ و شرم و حیا لحاظ

ساقی کی بے رخی کی کہاں تاب تھی مگر

پیر مغاں کی روح کا کرنا پڑا لحاظ

کیا وصف چشم یار کروں اس کے سامنے

نرگس سے ہے فقط مجھے اک آنکھ کا لحاظ

حرمت بڑی ہے اس کی نہ کر ہجو اس قدر

لازم ہے دخت رز کا تجھے واعظا لحاظ

نکلی نہ خم سے بزم جوانان‌‌ مست میں

پیر مغاں کا بنت عنب نے کیا لحاظ

پھر مجھ سے اس طرح کی نہ کیجے گا دل لگی

خیر اس گھڑی تو آپ کا میں کر گیا لحاظ

بے خود شراب شوق نے شب کو یہ کر دیا

ان کو رہا حجاب نہ مجھ کو رہا لحاظ

قربان اس حجاب کے اس شرم کے نثار

اتنا نہ عاشقوں سے کر اے مہ لقا لحاظ

محجوب ہے مزاج قلقؔ اپنا اس قدر

کرتے ہیں اپنے خورد کا بھی ہم برا لحاظ

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz

Arshad Ali Khan Qalaq

chashmak-zani mein karti nahin yar ka lihaz
nargis ki aankh mein bhi nahin hai zara lihaz

be-gali ab to baat bhi karte nahin kabhi
wo ibtida mein karte the be-intiha lihaz

tanha main aur itne wahan hain mere raqib
naz-o-ada ghamza-o-sharm-o-haya lihaz

saqi ki be-ruKHi ki kahan tab thi magar
pir-e-mughan ki ruh ka karna paDa lihaz

kya wasf-e-chashm-e-yar karun is ke samne
nargis se hai faqat mujhe ek aankh ka lihaz

hurmat baDi hai us ki na kar hajw is qadar
lazim hai duKHt-e-raz ka tujhe waiza lihaz

nikli na KHum se bazm-e-jawanan-e-mast mein
pir-e-mughan ka bint-e-inab ne kiya lihaz

phir mujh se is tarah ki na kijega dil-lagi
KHair us ghaDi to aap ka main kar gaya lihaz

be-KHud sharab-e-shauq ne shab ko ye kar diya
un ko raha hijab na mujh ko raha lihaz

qurban is hijab ke is sharm ke nisar
itna na aashiqon se kar ai mah-laqa lihaz

mahjub hai mizaj 'qalaq' apna is qadar
karte hain apne KHurd ka bhi hum bura lihaz

(484) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz is a widely read Urdu Ghazal. If you like Chashmak-zani Mein Karti Nahin Yar Ka Lihaz, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.