But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

بت پرستی نے کیا عاشق یزداں مجھ کو

ارشد علی خان قلق

بت پرستی نے کیا عاشق یزداں مجھ کو

پردۂ کفر میں حاصل ہوا ایماں مجھ کو

جب تلک زلف رخ یار کا دیوانہ رہا

پیر سمجھا کئے ہندو و مسلماں مجھ کو

چاہئے پیرہن دامن تیغ او قاتل

تیرے خنجر کا ہے درکار گریباں مجھ کو

اب درندازی اغیار نہیں چل سکتی

خوب پہچانتے ہیں یار کے درباں مجھ کو

شرم ایذا سے مرے دل کو یقیں ہے اے موت

منہ نہ دکھلائے گی صبح شب ہجراں مجھ کو

خال رخ خضر رہ کفر نہ ہوتا جو ترا

دام میں لا ہی چکے تھے یہ مسلماں مجھ کو

چشم خونخوار کا آغوش مژہ میں ہے یہ قول

زیب ہے کہیے اگر شیر نیستاں مجھ کو

جس میں کچھ ہوتی ہے امید وصال محبوب

اتنی کھلتی نہیں وہ گردش دوراں مجھ کو

یہ نہ معلوم تھا اس رنگ سے آئے گی بہار

توبۂ مے نے کیا سخت پشیماں مجھ کو

عشق نے منصب عشاق جو تقسیم کئے

باغ بلبل کو دیا کوچۂ جاناں مجھ کو

سوزش دل سے یہ پروانے کی صورت تڑپا

دیکھ کر رونے لگی شمع شبستاں مجھ کو

مجھ گراں بار کے محشر میں تلیں جب اعمال

نہ سبک کیجیو اے پلۂ میزاں مجھ کو

کون اندیشۂ فردا کا ملال آج کرے

موسم گل میں نہیں فکر زمستاں مجھ کو

تیرے ہوتے ہوئے اے غیرت خورشید نہ لوں

کھوٹے داموں بھی ملے گر مہ کنعاں مجھ کو

صف‌ کشی اپنی دکھاتا ہے مجھے کیا اشرار

یاد ہے اس کی صف آرائی مژگاں مجھ کو

لب جاں بخش صنم کا ہوں جو عاشق تو لوگ

جانتے ہیں خضر چشمۂ حیواں مجھ کو

ناتواں وہ ہوں عجب کیا صفت پائے ملخ

مور لے جائے اگر پیش سلیماں مجھ کو

میرے ظلمت کدے میں لائیں جو روشن کر کے

کرم شب آئے نظر شمع شبستاں مجھ کو

سد باب اب مرا اغیار عبث کرتے ہیں

نکہت گل ہوں نہیں کچھ غم درباں مجھ کو

دل‌ جلا میں ہوں وہ عاشق کہ شب ہجر قلقؔ

شمع بھی رونے لگی دیکھ گریباں مجھ کو

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko

Arshad Ali Khan Qalaq

but-parasti ne kiya aashiq-e-yazdan mujh ko
parda-e-kufr mein hasil hua iman mujh ko

jab talak zulf-e-ruKH-e-yar ka diwana raha
pir samjha kiye hindu-o-musalman mujh ko

chahiye pairahan-e-daman-e-tegh o qatil
tere KHanjar ka hai darkar gareban mujh ko

ab dar-andazi-e-aghyar nahin chal sakti
KHub pahchante hain yar ke darban mujh ko

sharm-e-iza se mere dil ko yaqin hai ai maut
munh na dikhlaegi subh-e-shab-e-hijran mujh ko

KHal-e-ruKH KHizr-e-rah-e-kufr na hota jo tera
dam mein la hi chuke the ye musalman mujh ko

chashm-e-KHun-KHwar ka aaghosh-e-mizha mein hai ye qaul
zeb hai kahiye agar sher-e-niystan mujh ko

jis mein kuchh hoti hai ummid-e-visal-e-mahbub
itni khalti nahin wo gardish-e-dauran mujh ko

ye na malum tha is rang se aaegi bahaar
tauba-e-mai ne kiya saKHt pasheman mujh ko

ishq ne mansab-e-ushshaq jo taqsim kiye
bagh bulbul ko diya kucha-e-jaanan mujh ko

sozish-e-dil se ye parwane ki surat taDpa
dekh kar rone lagi sham-e-shabistan mujh ko

mujh giran-bar ke mahshar mein tulen jab aamal
na subuk kijiyo ai palla-e-mizan mujh ko

kaun andesha-e-farda ka malal aaj kare
mausam-e-gul mein nahin fikr-e-zamistan mujh ko

tere hote hue ai ghairat-e-KHurshid na lun
khoTe damon bhi mile gar mah-e-kanan mujh ko

saf-kashi apni dikhata hai mujhe kya ashrar
yaad hai us ki saf-arai-e-mizhgan mujh ko

lab-e-jaan-baKHsh sanam ka hun jo aashiq to log
jaante hain KHizar-e-chashma-e-haiwan mujh ko

na-tawan wo hun ajab kya sifat pa-e-malaKH
mor le jae agar pesh-e-sulaiman mujh ko

mere zulmat-kade mein laen jo raushan kar ke
kirm-e-shab aae nazar sham-e-shabistan mujh ko

sadd-e-bab ab mera aghyar abas karte hain
nikhat gul hun nahin kuchh gham-e-darban mujh ko

dil-jala main hun wo aashiq ki shab-e-hijr 'qalaq'
shama bhi rone lagi dekh gareban mujh ko

(413) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko is a widely read Urdu Ghazal. If you like But-parasti Ne Kiya Aashiq-e-yazdan Mujhko, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.