Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تاثیر جذب مستوں کی ہر ہر غزل میں ہے

ارشد علی خان قلق

تاثیر جذب مستوں کی ہر ہر غزل میں ہے

اعجاز بڑ میں ہے تو کرامت زٹل میں ہے

دل میں جو اپنے یار ہے تو دل بغل میں ہے

پھر کیوں ہے غم کہ صاحب خانہ محل میں ہے

کتنا غرور ہے تمہیں حسن و جمال پر

گو یاد یار حسن تمہارے عمل میں ہے

ہے یاد دل میں پنجۂ رنگین یار کی

مہندی کے چور کا گزر اپنے محل میں ہے

بد تر خزاں سے ہے ہمیں اس باغ کی بہار

بوئی نفاق پھول میں ہی زہر پھل میں ہے

لیتے ہیں بوسے ان لب و گیسو کے رات دن

ملک یمن سے تاختن اپنے عمل میں ہے

منعم یہ کارخانے ہیں دنیا کے کر نہ فکر

کوئی ہے جھونپڑے میں تو کوئی محل میں ہے

جو بن گیا وہ پیچ مگر ان کے ہیں وہی

رسی کا بل حضور کی زلفوں کے بل میں ہے

پہلو میں مجھ حزیں کے ٹپکتا ہے رات دن

یا رب یہ دل ہے یا کوئی پھوڑا بغل میں ہے

اتنا لذیذ باغ جہاں میں ثمر ہے کون

جو ذائقہ نہال تمنا کے پھل میں ہے

حسرت ہے ہم بھی کہتے کسی دن یہ اے فلک

اے دل مبارک آج تو دل بر بغل میں ہے

دشنام دے کے بوسے یہ کہہ کہہ کے دیتے ہیں

انعام گالیوں کے یہ نعم البدل میں ہے

لایا ہے رنگ پھر گل داغ جنوں مرا

شاید نزول نیر اعظم حمل میں ہے

مجھ رند بادہ کش کو یہ جو خوف محتسب

دل کی طرح چھپی ہوئی بوتل بغل میں ہے

بحر سرشک دیدۂ دل میں ہے موجزن

دیکھو طلسم حسن کہ دریا کنول میں ہے

اے مے کشو تمہاری بھی دعوت کریں گے ہم

عرس جناب پیر مغاں آج کل میں ہے

صانع نے وہ دہن نہ بنایا نہ کچھ لکھا

خالی جگہ نوشتۂ روز ازل میں ہے

خط بھی دیا تو قاصد غفلت شعار کو

نامہ مرا بندھا ہوا بازوے شل میں ہے

دست جنوں نے پھاڑ کے پھینکا ادھر ادھر

دامن ابد میں ہے تو گریباں ازل میں ہے

اشکوں کے بدلے خون کے قطرے ٹپکتے ہیں

بتی ہمارے زخم کی روشن کنول میں ہے

دل پھک رہا ہے گرچہ ہم آغوش ہے وہ گل

پہلو میں میرے خلد ہے دوزخ بغل میں ہے

بیمار عشق کہتے ہیں دار الشفا اسے

ایسی ہی جو حسین فرنگی‌ محل میں ہے

لکھنا تھا جو کچھ آپ کو پہلے ہی لکھ دیا

حال ابد بھی دفتر روز ازل میں ہے

پہلو میں دل ہمارے ہے زیب کنار یار

آغوش میں ہے دوست تو دشمن بغل میں ہے

وعدہ کیا تھا آج سو پھر کل پہ ٹل گیا

آخر ہماری موت اسی آج کل میں ہے

لپکا پڑا ہے حسن پرستی کا کس قدر

جب دیکھیے قلقؔ کو فرنگی محل میں ہے

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai

Arshad Ali Khan Qalaq

tasir jazb maston ki har har ghazal mein hai
eajaz baD mein hai to karamat zaTal mein hai

dil mein jo apne yar hai to dil baghal mein hai
phir kyun hai gham ki sahab-e-KHana mahal mein hai

kitna ghurur hai tumhein husn-o-jamal par
go yaad-e-yar-e-husn tumhaare amal mein hai

hai yaad dil mein panja-e-rangin-e-yar ki
mehndi ke chor ka guzar apne mahal mein hai

bad-tar KHizan se hai hamein is bagh ki bahaar
boi nifaq phul mein hi zahar phal mein hai

lete hain bose un lab-o-gesu ke raat-din
mulk-e-yaman se taKHtan apne amal mein hai

munim ye kar-KHane hain duniya ke kar na fikr
koi hai jhonpaDe mein to koi mahal mein hai

jo ban gaya wo pech magar un ke hain wahi
rassi ka bal huzur ki zulfon ke bal mein hai

pahlu mein mujh hazin ke Tapakta hai raat-din
yarab ye dil hai ya koi phoDa baghal mein hai

itna laziz bagh-e-jahan mein samar hai kaun
jo zaiqa nihaal-e-tamanna ke phal mein hai

hasrat hai hum bhi kahte kisi din ye ai falak
ai dil mubarak aaj to dilbar baghal mein hai

dushnam de ke bose ye kah kah ke dete hain
inam galiyon ke ye nemul-badal mein hai

laya hai rang phir gul-e-dagh-e-junun mera
shayad nuzul-e-nayyar-e-azam hamal mein hai

mujh rind-e-baadah-kash ko ye jo KHauf-e-mohtasib
dil ki tarah chhupi hui botal baghal mein hai

bahr-e-sarashk dida-e-dil mein hai maujzan
dekho tilism-e-husn ki dariya kanwal mein hai

ai mai-kasho tumhaari bhi dawat karenge hum
urs-e-janab-e-pir-e-mughan aaj-kal mein hai

sanea ne wo dahan na banaya na kuchh likha
KHali jagah nawishta-e-roz-e-azal mein hai

KHat bhi diya to qasid-e-ghaflat-shiar ko
nama mera bandha hua bazu-e-shal mein hai

dast-e-junun ne phaD ke phenka idhar-udhar
daman abad mein hai to gareban azal mein hai

ashkon ke badle KHun ke qatre Tapakte hain
batti hamare zaKHm ki raushan kanwal mein hai

dil phuk raha hai garche hum aaghosh hai wo gul
pahlu mein mere KHuld hai dozaKH baghal mein hai

bimar-e-ishq kahte hain darushshifa use
aisi hi jo hasin farangi-mahal mein hai

likhna tha jo kuchh aap ko pahle hi likh diya
haal-e-abad bhi daftar-e-roz-e-azal mein hai

pahlu mein dil hamare hai zeb-e-kanar-e-yar
aaghosh mein hai dost to dushman baghal mein hai

wada kiya tha aaj so phir kal pe Tal gaya
aaKHir hamari maut isi aaj-kal mein hai

lapka paDa hai husn-parasti ka kis qadar
jab dekhiye 'qalaq' ko farangi-mahal mein hai

(581) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Tasir Jazb Maston Ki Har Har Ghazal Mein Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.