Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh, Urdu Ghazal By Arshad Ali Khan Qalaq

Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Arshad Ali Khan Qalaq. Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ جی میں آتا ہے جل جل کے ہر زماں ناصح

ارشد علی خان قلق

یہ جی میں آتا ہے جل جل کے ہر زماں ناصح

کہ آگ لے کے جلا دوں تری زباں ناصح

نہ منع عشق مجازی سے کر مجھے ناداں

یہی ہے بام حقیقت کی نردباں ناصح

میں ترک عشق کمر یک بیک کروں کیوں کر

سمجھ کے مجھ کو نصیحت کرو میاں ناصح

ذلیل ہوگا تو اک روز پند بے جا سے

تجھے خراب کرے گی تری زباں ناصح

خدا کے واسطے بک بک کے میرا مغز نہ کھا

نہ ترک ہوگی کبھی الفت بتاں ناصح

بجائے پند دلاتا ہے حسن پر رغبت

ہزار شکر کہ پایا مزاج داں ناصح

قبول اطاعت پیر مغاں بدل کرنا

ہماری طرح سے ہوتا اگر جواں ناصح

نصیحت ان کی کہانی کی طرح سنتا ہوں

میں جانتا ہوں کہ ہے ایک قصہ خواں ناصح

جہاں حسیں نظر آیا کوئی پسے وہیں ہم

ہمارے ساتھ پھرے گا کہاں کہاں ناصح

ضعیف ہو کے سمجھتا نہیں تعجب ہے

کروں شباب میں ترک الفت بتاں ناصح

کرم کیا ہے غم عشق نے مرے دل میں

میں کس طرح نہ کروں پاس میہماں ناصح

ہم آپ بند کیا کرتے ہیں ہزاروں کو

ہمارے سامنے کھولے گا کیا زباں ناصح

بتوں کا کلمہ پڑھے تو ابھی ہماری طرح

کمال عشق اگر پختہ ہو عیاں ناصح

میں وہ ہوں عاشق دیوانہ گر مجھے کی پند

برنگ جیب اڑا دوں گا دھجیاں ناصح

کہیں ہماری طرح یہ بھی پھنس گیا شاید

کچھ آج کل ہے بہت ہم پہ مہرباں ناصح

قلقؔ نہ حرف نصیحت زباں پہ لائے وہ پھر

جو سن لے میری محبت کی داستاں ناصح

ارشد علی خان قلق

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh

Arshad Ali Khan Qalaq

ye ji mein aata hai jal jal ke har zaman naseh
ki aag le ke jala dun teri zaban naseh

na mana ishq-e-majazi se kar mujhe nadan
yahi hai baam-e-haqiqat ki nardban naseh

main tark-e-ishq-e-kamar yak-ba-yak karun kyunkar
samajh ke mujh ko nasihat karo miyan naseh

zalil hoga tu ek roz pand-e-beja se
tujhe KHarab karegi teri zaban naseh

KHuda ke waste bak bak ke mera maghz na kha
na tark hogi kabhi ulfat-e-butan naseh

baja-e-pand dilata hai husn par raghbat
hazar shukr ki paya mizaj-dan naseh

qubul itaat-e-pir-e-mughan badal karna
hamari tarah se hota agar jawan naseh

nasihat un ki kahani ki tarah sunta hun
main jaanta hun ki hai ek qissa-KHwan naseh

jahan hasin nazar aaya koi pise wahin hum
hamare sath phirega kahan kahan naseh

zaif ho ke samajhta nahin tajjub hai
karun shabab mein tark ulfat-e-butan naseh

karam kiya hai gham-e-ishq ne mere dil mein
main kis tarah na karun pas-e-mehman naseh

hum aap band kiya karte hain hazaron ko
hamare samne kholega kya zaban naseh

buton ka kalima paDhe tu abhi hamari tarah
kamal-e-ishq agar puKHta ho ayan naseh

main wo hun aashiq-e-diwana gar mujhe ki pand
ba-rang-e-jaib uDa dunga dhajjiyan naseh

kahin hamari tarah ye bhi phans gaya shayad
kuchh aaj-kal hai bahut hum pe mehrban naseh

'qalaq' na harf-e-nasihat zaban pe lae wo phir
jo sun le meri mohabbat ki dastan naseh

(518) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh written by Arshad Ali Khan Qalaq at UrduPoint. Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh is one of the masterpieces written by Arshad Ali Khan Qalaq. You can also find the complete poetry collection of Arshad Ali Khan Qalaq by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Arshad Ali Khan Qalaq' above.

Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Ji Mein Aata Hai Jal Jal Ke Har Zaman Naseh, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.