KHun Utar Aaya Dil Ke Chhaalon Mein, Urdu Ghazal By Aslam Badar

KHun Utar Aaya Dil Ke Chhaalon Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Aslam Badar. KHun Utar Aaya Dil Ke Chhaalon Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read KHun Utar Aaya Dil Ke Chhaalon Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

خون اتر آیا دل کے چھالوں میں

اسلم بدر

خون اتر آیا دل کے چھالوں میں

بن رہے تھے محل خیالوں میں

جاگتے جاگتے چڑھا سورج

آنکھ دکھنے لگی اجالوں میں

پنچھیوں ہجرتوں کی رت آئی

برف جمنے لگی ہے بالوں میں

بھوک نے کھینچ دی ہیں دیواریں

ہم نوالوں میں ہم پیالوں میں

مرثیہ اس صدی کا لکھنا ہے

اور دو تین چار سالوں میں

بجنے والی ہے آخری گھنٹی

ہم ہیں الجھے ہوئے سوالوں میں

پانیوں کی سیاستیں اسلمؔ

مچھلیاں مطمئن ہیں جالوں میں

اسلم بدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

KHun Utar Aaya Dil Ke Chhaalon Mein

Aslam Badar

KHun utar aaya dil ke chhaalon mein
ban rahe the mahal KHayalon mein

jagte jagte chaDha suraj
aankh dukhne lagi ujalon mein

panchhiyon hijraton ki rut aai
barf jamne lagi hai baalon mein

bhuk ne khinch di hain diwaren
ham-niwalon mein ham-piyalon mein

marsiya is sadi ka likhna hai
aur do tin chaar salon mein

bajne wali hai aaKHiri ghanTi
hum hain uljhe hue sawalon mein

paniyon ki siyasaten 'aslam'
machhliyan mutmain hain jalon mein

(606) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read KHun Utar Aaya Dil Ke Chhaalon Mein written by Aslam Badar at UrduPoint. KHun Utar Aaya Dil Ke Chhaalon Mein is one of the masterpieces written by Aslam Badar. You can also find the complete poetry collection of Aslam Badar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Aslam Badar' above.

KHun Utar Aaya Dil Ke Chhaalon Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like KHun Utar Aaya Dil Ke Chhaalon Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.