Abba Ke Nam, Urdu Nazam By Atiiqullah

Abba Ke Nam is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Atiiqullah. Abba Ke Nam comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Abba Ke Nam on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ابا کے نام

عتیق اللہ

اس لمحے

کہ تم میرے ساتھ ہو

خدا میرے نزدیک ہے

میں اس کے قدموں پر سر رکھ دیتا ہوں

اپنی کمیوں، بدنصیبوں اور بےوقوفیوں کو بھول کر

اس کے شفقت بھرے ہاتھوں کا لمس

اپنی پیٹھ پر محسوس کرتا ہوں

دیکھتے دیکھتے

ہرا بھرا درخت بن جاتا ہوں

جیسے

میں ایک نہیں، کئی زندگی جی رہا ہوں

جیسے

میں ایک نہیں، کئی اشیا میں بدل گیا ہوں

چھوٹے سے چھوٹے ذرے میں

کائنات کی کائنات سرسراتی ہے

تمام راستے

مجھے اپنی طرف آتے ہوئے دکھائی دیتے ہیں

لگتا ہے

تھوڑی دیر کے لیے زمین رک گئی ہے

لوگوں نے

اپنی نفرتیں

اپنی جیبوں میں بھر لی ہیں

اور مجھے

خوش آمدید کہہ رہے ہیں

عتیق اللہ

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Abba Ke Nam

Atiiqullah

is lamhe
ki tum mere sath ho
KHuda mere nazdik hai
main us ke qadmon par sar rakh deta hun
apni kamyon, bad-nasibon aur be-waqufiyon ko bhul kar
us ke shafqat bhare hathon ka lams
apni piTh par mahsus karta hun

dekhte dekhte
hara-bhara daraKHt ban jata hun
jaise
mein ek nahin, kai zindagi ji raha hun
jaise
main ek nahi, kai ashiya mein badal gaya hun

chhoTe se chhoTe zarre mein
kaenat ki kaenat sarsaraati hai
tamam raste
mujhe apni taraf aate hue dikhai dete hain
lagta hai
thoDi der ke liye zamin ruk gai hai
logon ne
apni nafraten
apni jebon mein bhar li hain
aur mujhe
KHush-amdid kah rahe hain

(791) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Abba Ke Nam written by Atiiqullah at UrduPoint. Abba Ke Nam is one of the masterpieces written by Atiiqullah. You can also find the complete poetry collection of Atiiqullah by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Atiiqullah' above.

Abba Ke Nam is a widely read Urdu Nazam. If you like Abba Ke Nam, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.