Aankhen Meri Kya DhunDti Hain, Urdu Nazam By Badnam Nazar

Aankhen Meri Kya DhunDti Hain is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Badnam Nazar. Aankhen Meri Kya DhunDti Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Aankhen Meri Kya DhunDti Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

آنکھیں میری کیا ڈھونڈتی ہیں

بدنام نظر

آنکھیں میری کیا ڈھونڈھتی ہیں

پانی میں یا چٹانوں میں

شبنم کے ننھے قطروں میں

بارودی دہکتے شعلوں میں

گلزاروں میں

یا بنجر ریگستانوں میں

محفل میں تنہائی میں

دوسروں کی انگنائی میں

نظموں کے تیکھا پن میں

غزلوں کی رعنائی میں

میخوانوں کے بند کواڑوں کے پیچھے

مندر میں چڑھائے پھولوں میں

مسجد کے خالی مصلیٰ پر

مرگھٹ میں قبرستانوں میں

بازاروں میں ویرانوں میں

دشت سے کانپتے ہونٹوں پر

وحشت سے لپکتے جذبوں پر

بوسیدہ کچی کھولی میں

اونچے اونچے ایوانوں میں

منصف کے پھسلتے قلموں پر

ملزم کی لرزتی سانسوں میں

انصاف کی اندھی دیوی میں

یا جھول رہے میزانوں میں

بچوں کی تڑپتی لاشوں میں

ماؤں کی بھی ممتا میں

آنکھیں میری اسی چہرے کی متلاشی ہیں

جس چہرے میں وہ رہتی تھیں

وہ چہرہ جو اب خود کو بھی پہچاننے سے قاصر ہے نظرؔ

آنکھیں اس کو کیا ڈھونڈیں گی

بدنام نظر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Aankhen Meri Kya DhunDti Hain

Badnam Nazar

aankhen meri kya DhunDhti hain
pani mein ya chaTTanon mein
shabnam ke nanhe qatron mein
barudi dahakte shoalon mein
gulzaron mein
ya banjar registanon mein
mahfil mein tanhai mein
dusron ki angnai mein
nazmon ke tikha-pan mein
ghazlon ki ranai mein
mai-KHwanon ke band kiwaDon ke pichhe
mandir mein chaDhae phulon mein
masjid ke KHali musalla par
marghaT mein qabristanon mein
bazaron mein viranon mein
dasht se kanpte honTon par
wahshat se lapakte jazbon par
bosida kachchi kholi mein
unche unche aiwanon mein
munsif ke phisalte qalamon par
mulzim ki larazti sanson mein
insaf ki andhi dewi mein
ya jhul rahe mizanon mein
bachchon ki taDapti lashon mein
maon ki bhi mamta mein
aankhen meri usi chehre ki mutalashi hain
jis chehre mein wo rahti thin
wo chehra jo ab KHud ko bhi pahchanne se qasir hai 'nazar'
aankhen us ko kya DhunDengi

(881) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Aankhen Meri Kya DhunDti Hain written by Badnam Nazar at UrduPoint. Aankhen Meri Kya DhunDti Hain is one of the masterpieces written by Badnam Nazar. You can also find the complete poetry collection of Badnam Nazar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Badnam Nazar' above.

Aankhen Meri Kya DhunDti Hain is a widely read Urdu Nazam. If you like Aankhen Meri Kya DhunDti Hain, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.