Zard LaDki Ka Chehra, Urdu Nazam By Balraj Komal

Zard LaDki Ka Chehra is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Balraj Komal. Zard LaDki Ka Chehra comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Zard LaDki Ka Chehra on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

زرد لڑکی کا چہرہ

بلراج کومل

منجمد خون جب سرخ سے کل سیہ ہو گیا

خاک پا واقعہ ہو گیا

زرد لڑکی کا چہرہ فرشتوں نے دیکھا تھا

رنگوں کی ترتیب میں

جانے پہچانے چہروں سے میری ملاقات جب اجنبی سی لگی

آئنہ دیکھنے کے لئے میں اٹھا آئنہ ہو گیا

تیرگی سے گزرتی ہوئی روشنی برگ اسرار تھی

آنکھ کے سامنے روشنی خون تھی

خون پہلے گرا منجمد ہو گیا پھر سیہ ہو گیا

زرد لڑکی کا چہرہ

گزرتا ہوا برگ اسرار تھا

رہ گزر سے لپک کر مکاں میں گیا

پھر دریچے میں ابھرا

فرشتوں نے دیکھا تھا

میں نے بھی دیکھا تھا

میں بھی فرشتہ تھا

کل کے فسانے کی ترتیب میں لفظ مجھ سے جدا تھے

مگر آج میرے ہیں کیوں آج بھی اجنبی ہو گئے ان کو کیا ہو گیا

ان کو کیا ہو گیا

منجمد خون پہلے سیہ ہو گیا

پھر فقط واقعہ تھا

مگر زرد لڑکی کا چہرہ عجب نقش تھا

میں مٹاتا تھا لیکن وہ مٹتا نہ تھا

دید کا حادثہ پہلے منظر بنا

پھر فقط ایک منظر سے بیکار سا سلسلہ ہو گیا

زرد لڑکی کا چہرہ خدا سے بڑا خواب تھا

بلراج کومل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Zard LaDki Ka Chehra

Balraj Komal

munjamid KHun jab surKH se kal siyah ho gaya
KHak-e-pa waqia ho gaya
zard laDki ka chehra farishton ne dekha tha
rangon ki tartib mein
jaane pahchane chehron se meri mulaqat jab ajnabi si lagi
aaina dekhne ke liye main uTha aaina ho gaya
tirgi se guzarti hui raushni barg-e-asrar thi
aankh ke samne raushni KHun thi
KHun pahle gira munjamid ho gaya phir siyah ho gaya
zard laDki ka chehra
guzarta hua barg-e-asrar tha
rahguzar se lapak kar makan mein gaya
phir dariche mein ubhra
farishton ne dekha tha
main ne bhi dekha tha
main bhi farishta tha
kal ke fasane ki tartib mein lafz mujh se juda the
magar aaj mere hain kyon aaj bhi ajnabi ho gae un ko kya ho gaya
un ko kya ho gaya
munjamid KHun pahle siyah ho gaya
phir faqat waqia tha
magar zard laDki ka chehra ajab naqsh tha
main miTata tha lekin wo miTta na tha
did ka hadisa pahle manzar bana
phir faqat ek manzar se be-kar sa silsila ho gaya
zard laDki ka chehra KHuda se baDa KHwab tha

(851) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Zard LaDki Ka Chehra written by Balraj Komal at UrduPoint. Zard LaDki Ka Chehra is one of the masterpieces written by Balraj Komal. You can also find the complete poetry collection of Balraj Komal by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Balraj Komal' above.

Zard LaDki Ka Chehra is a widely read Urdu Nazam. If you like Zard LaDki Ka Chehra, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.