Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua, Urdu Ghazal By Bashir Farooqi

Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bashir Farooqi. Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اس کی نظر کا مجھ پہ کچھ ایسا اثر ہوا

بشیر فاروقی

اس کی نظر کا مجھ پہ کچھ ایسا اثر ہوا

دل تھا صدف مثال برنگ گہر ہوا

وہ شوخیاں تھیں اور نہ وہ رنگ روپ تھا

کل میں بہت اداس اسے دیکھ کر ہوا

ایثار اور وفا کی مرے داستاں یہ ہے

جب بھی وطن پہ وار ہوئے میں سپر ہوا

وہ حادثہ تو کوئی بڑا حادثہ نہ تھا

یہ اور بات دل پہ زیادہ اثر ہوا

ایسا بھی ایک در ہے اسی کائنات میں

اس در کا جو فقیر ہوا تاجور ہوا

اب جا کے مجھ کو سرد شبستاں ہوا نصیب

برسوں تمام جسم پسینے میں تر ہوا

دہشت زدہ فضاؤں سے وہ بے نیاز تھا

جب اس کا گھر جلا ہے تو اس پر اثر ہوا

یاد آ گئی تھی مجھ کو شہید وفا کی پیاس

دریا کو دیکھ کر جو مرا دل شرر ہوا

پتھر بھی پھینکتے کوئی آتا نہیں ادھر

بوڑھے شجر کی طرح جو میں بے ثمر ہوا

جس دن مری غزل نے چھوئے اس کے لب بشیرؔ

اس دن مری غزل کا سفر معتبر ہوا

بشیر فاروقی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua

Bashir Farooqi

us ki nazar ka mujh pe kuchh aisa asar hua
dil tha sadaf misal ba-rang-e-guhar hua

wo shoKHiyan thin aur na wo rang-rup tha
kal main bahut udas use dekh kar hua

isar aur wafa ki mere dastan ye hai
jab bhi watan pe war hue main sipar hua

wo hadisa to koi baDa hadisa na tha
ye aur baat dil pe ziyaada asar hua

aisa bhi ek dar hai isi kaenat mein
us dar ka jo faqir hua tajwar hua

ab ja ke mujh ko sard shabistan hua nasib
barson tamam jism pasine mein tar hua

dahshat-zada fazaon se wo be-niyaz tha
jab us ka ghar jala hai to us par asar hua

yaad aa gai thi mujh ko shahid-e-wafa ki pyas
dariya ko dekh kar jo mera dil sharar hua

patthar bhi phenkte koi aata nahin idhar
buDhe shajar ki tarah jo main be-samar hua

jis din meri ghazal ne chhue us ke lab 'bashir'
us din meri ghazal ka safar mo'atabar hua

(746) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua written by Bashir Farooqi at UrduPoint. Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua is one of the masterpieces written by Bashir Farooqi. You can also find the complete poetry collection of Bashir Farooqi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bashir Farooqi' above.

Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua is a widely read Urdu Ghazal. If you like Uski Nazar Ka Mujh Pe Kuchh Aisa Asar Hua, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.