Main Naqsh-e-ma-o-man Hota Ki Naqsh-e-ma-siwa Hota, Urdu Ghazal By Bekhud Mohani

Main Naqsh-e-ma-o-man Hota Ki Naqsh-e-ma-siwa Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Bekhud Mohani. Main Naqsh-e-ma-o-man Hota Ki Naqsh-e-ma-siwa Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Main Naqsh-e-ma-o-man Hota Ki Naqsh-e-ma-siwa Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

میں نقش ما و من ہوتا کہ نقش ماسوا ہوتا

بیخود موہانی

میں نقش ما و من ہوتا کہ نقش ماسوا ہوتا

جو پہلے سے خبر ہوتی کہ کیا ہوتا تو کیا ہوتا

مری ہستی کا نقطہ گر نہ نقش ماسوا ہوتا

ازل کی ابتدا ہوتا ابد کی انتہا ہوتا

سمجھ لے راہ الفت میں کچھ ایسی ہی پڑی ورنہ

نہ دل مجھ سے جدا ہوتا نہ میں دل سے جدا ہوتا

بنی جو کچھ بنی ہم پر مگر پھر بھی یہ حسرت ہے

کہ پہلو دل میں ہوتا اور دل میں مدعا ہوتا

یہ عالم تھا کبھی دل کا مرے جوش تخیل سے

جو نقشہ آنکھ میں پھرتا وہی میرا خدا ہوتا

فضا کے ذرے ذرے میں تموج ہے تلاطم ہے

اثر درد آفریں دل کی صدا میں اور کیا ہوتا

خیال ہستیٔ موہوم آفت ہے قیامت ہے

کہ ہونے پر برا ٹھہرا نہ ہوتا تو برا ہوتا

نہ اگلی سی خلش ہے اب نہ وہ پچھلی سی کاوش ہے

الوہی قلب میں خار تمنا رہ گیا ہوتا

یہ منظر مجمع محشر کا اور محروم ہے بیخودؔ

خدایا پردۂ جوش تمنا اٹھ گیا ہوتا

بیخود موہانی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Main Naqsh-e-ma-o-man Hota Ki Naqsh-e-ma-siwa Hota

Bekhud Mohani

main naqsh-e-ma-o-man hota ki naqsh-e-ma-siwa hota
jo pahle se KHabar hoti ki kya hota to kya hota

meri hasti ka nuqta gar na naqsh-e-ma-siwa hota
azal ki ibtida hota abad ki intiha hota

samajh le rah-e-ulfat mein kuchh aisi hi paDi warna
na dil mujh se juda hota na main dil se juda hota

bani jo kuchh bani hum par magar phir bhi ye hasrat hai
ki pahlu dil mein hota aur dil mein muddaa hota

ye aalam tha kabhi dil ka mere josh-e-taKHayyul se
jo naqsha aankh mein phirta wahi mera KHuda hota

faza ke zarre zarre mein tamawwuj hai talatum hai
asar dard-afrin dil ki sada mein aur kya hota

KHayal-e-hasti-e-mauhum aafat hai qayamat hai
ki hone par bura Thahra na hota to bura hota

na agli si KHalish hai ab na wo pichhli si kawish hai
uluhi qalb mein KHar-e-tamanna rah gaya hota

ye manzar majma-e-mahshar ka aur mahrum hai 'beKHud'
KHudaya parda-e-josh-e-tamanna uTh gaya hota

(770) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Main Naqsh-e-ma-o-man Hota Ki Naqsh-e-ma-siwa Hota written by Bekhud Mohani at UrduPoint. Main Naqsh-e-ma-o-man Hota Ki Naqsh-e-ma-siwa Hota is one of the masterpieces written by Bekhud Mohani. You can also find the complete poetry collection of Bekhud Mohani by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Bekhud Mohani' above.

Main Naqsh-e-ma-o-man Hota Ki Naqsh-e-ma-siwa Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like Main Naqsh-e-ma-o-man Hota Ki Naqsh-e-ma-siwa Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.