Dub Jaane Ke Siwa Ishq Mein Chaara Hi Nahin, Urdu Ghazal By Betab Azimabadi

Dub Jaane Ke Siwa Ishq Mein Chaara Hi Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Betab Azimabadi. Dub Jaane Ke Siwa Ishq Mein Chaara Hi Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dub Jaane Ke Siwa Ishq Mein Chaara Hi Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ڈوب جانے کے سوا عشق میں چارا ہی نہیں

بیتاب عظیم آبادی

ڈوب جانے کے سوا عشق میں چارا ہی نہیں

اس سمندر کا کسی سمت کنارا ہی نہیں

تلخیٔ زخم جگر جس کو گوارا ہی نہیں

اس کو ناوک نگہ ناز نے مارا ہی نہیں

سنتے آتے ہیں کہ اک روز قیامت ہوگی

آپ نے زلف پریشاں کو سنوارا ہی نہیں

پردۂ دل سے صدا یار کی آ ہی جاتی

ہم تذبذب میں رہے اس کو پکارا ہی نہیں

باز ہم ایسے تصور سے کہ اب تک جس نے

ایک نقشہ بھی ترا ٹھیک اتارا ہی نہیں

پھر شکایت ہے مرے دل کے تڑپنے کی عبث

تاک کر تیر کوئی آپ نے مارا ہی نہیں

کیا ہے دریائے محبت کے ادھر کیا معلوم

تیری تلوار نے اس گھاٹ اتارا ہی نہیں

ان کی محفل کی عجب بات ہے کیا عرض کریں

تذکرہ سب کا ہے اک ذکر ہمارا ہی نہیں

مل گئی اس کی نظر میری نظر سے آخر

اب تو دینا ہی پڑا دل کوئی چارا ہی نہیں

اور بھی دیدۂ دل رکھتے ہیں پرخوں ہم سے

کچھ ترے ہجر میں یہ رنگ ہمارا ہی نہیں

پارسائی میں ہے فرد اس کی حیا اے بیتابؔ

شوق آلود نظر اس کو گوارا ہی نہیں

بیتاب عظیم آبادی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dub Jaane Ke Siwa Ishq Mein Chaara Hi Nahin

Betab Azimabadi

Dub jaane ke siwa ishq mein chaara hi nahin
is samundar ka kisi samt kinara hi nahin

talKHi-e-zaKHm-e-jigar jis ko gawara hi nahin
us ko nawak nigah-e-naz ne mara hi nahin

sunte aate hain ki ek roz qayamat hogi
aap ne zulf-e-pareshan ko sanwara hi nahin

parda-e-dil se sada yar ki aa hi jati
hum tazabzub mein rahe us ko pukara hi nahin

baz hum aise tasawwur se ki ab tak jis ne
ek naqsha bhi tera Thik utara hi nahin

phir shikayat hai mere dil ke taDapne ki abas
tak kar tir koi aap ne mara hi nahin

kya hai dariya-e-mohabbat ke udhar kya malum
teri talwar ne us ghaT utara hi nahin

un ki mahfil ki ajab baat hai kya arz karen
tazkira sab ka hai ek zikr hamara hi nahin

mil gai us ki nazar meri nazar se aaKHir
ab to dena hi paDa dil koi chaara hi nahin

aur bhi dida-e-dil rakhte hain pur-KHun hum se
kuchh tere hijr mein ye rang hamara hi nahin

parsai mein hai fard us ki haya ai 'betab'
shauq-alud nazar us ko gawara hi nahin

(616) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dub Jaane Ke Siwa Ishq Mein Chaara Hi Nahin written by Betab Azimabadi at UrduPoint. Dub Jaane Ke Siwa Ishq Mein Chaara Hi Nahin is one of the masterpieces written by Betab Azimabadi. You can also find the complete poetry collection of Betab Azimabadi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Betab Azimabadi' above.

Dub Jaane Ke Siwa Ishq Mein Chaara Hi Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dub Jaane Ke Siwa Ishq Mein Chaara Hi Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.