Sidhe-sadhe Log The Pahle Ghar Bhi Sada Hota Tha, Urdu Ghazal By Ehtisham Hasan

Sidhe-sadhe Log The Pahle Ghar Bhi Sada Hota Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ehtisham Hasan. Sidhe-sadhe Log The Pahle Ghar Bhi Sada Hota Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sidhe-sadhe Log The Pahle Ghar Bhi Sada Hota Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سیدھے سادھے لوگ تھے پہلے گھر بھی سادہ ہوتا تھا

احتشام حسن

سیدھے سادھے لوگ تھے پہلے گھر بھی سادہ ہوتا تھا

کمرے کم ہوتے تھے اور دالان کشادہ ہوتا تھا

دیکھ کے وہ گھر گاؤں والے سوگ منایا کرتے تھے

صحن میں جو دیوار اٹھا کر آدھا آدھا ہوتا تھا

مستقبل اور حال کے آزاروں کے ساتھ نمٹنے کو

چوپالوں میں ماضی کی یادوں کا اعادہ ہوتا تھا

دکھ چاہے جس کا بھی ہو وہ مل کر بانٹا جاتا تھا

غم تو آج کے جیسے تھے احساس زیادہ ہوتا تھا

لڑکے بالے میلوں پیدل پڑھنے جایا کرتے تھے

پاس ہے جو اسکول وہ پہلے دور افتادہ ہوتا تھا

تھک جاتا کوئی تو مل کر بوجھ کو بانٹا کرتے تھے

دوست نے دوست کا بستہ اپنے اوپر لادا ہوتا تھا

اتنی شرم تو ہوتی تھی آنکھوں میں پہلے وقتوں میں

گلی میں سر نیچا رکھتا جو باہر دادا ہوتا تھا

سوچ سمجھ کر ہوتے تھے تب ساتھ نبھانے کے وعدے

لیکن جو کر لیتے تھے وہ وعدہ پورا ہوتا تھا

خط میں دل اور تیر بنا کر منت کرنی پڑتی تھی

یار بہت مشکل سے ملنے پر آمادہ ہوتا تھا

دیکھ حسنؔ کس منصب سے لے آیا عشق فقیری تک

جس سے پوچھا اپنے دور میں وہ شہزادہ ہوتا تھا

احتشام حسن

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sidhe-sadhe Log The Pahle Ghar Bhi Sada Hota Tha

Ehtisham Hasan

sidhe-sadhe log the pahle ghar bhi sada hota tha
kamre kam hote the aur dalan kushada hota tha

dekh ke wo ghar ganw wale sog manaya karte the
sahn mein jo diwar uTha kar aadha aadha hota tha

mustaqbil aur haal ke aazaron ke sath nimaTne ko
chaupalon mein mazi ki yaadon ka iada hota tha

dukh chahe jis ka bhi ho wo mill kar banTa jata tha
gham to aaj ke jaise the ehsas ziyaada hota tha

laDke baale milon paidal paDhne jaya karte the
pas hai jo school wo pahle dur-uftada hota tha

thak jata koi to mil kar bojh ko banTa karte the
dost ne dost ka basta apne upar lada hota tha

itni sharm to hoti thi aankhon mein pahle waqton mein
gali mein sar nicha rakhta jo bahar dada hota tha

soch samajh kar hote the tab sath nibhane ke wade
lekin jo kar lete the wo wada pura hota tha

KHat mein dil aur tir bana kar minnat karni paDti thi
yar bahut mushkil se milne par aamada hota tha

dekh 'hasan' kis mansab se le aaya ishq faqiri tak
jis se puchha apne daur mein wo shahzada hota tha

(856) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sidhe-sadhe Log The Pahle Ghar Bhi Sada Hota Tha written by Ehtisham Hasan at UrduPoint. Sidhe-sadhe Log The Pahle Ghar Bhi Sada Hota Tha is one of the masterpieces written by Ehtisham Hasan. You can also find the complete poetry collection of Ehtisham Hasan by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ehtisham Hasan' above.

Sidhe-sadhe Log The Pahle Ghar Bhi Sada Hota Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sidhe-sadhe Log The Pahle Ghar Bhi Sada Hota Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.