Wo Pahli Si Chashm-e-murawwat Nahin Hai, Urdu Ghazal By Faheemuddin Ahmad Faheem

Wo Pahli Si Chashm-e-murawwat Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faheemuddin Ahmad Faheem. Wo Pahli Si Chashm-e-murawwat Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Pahli Si Chashm-e-murawwat Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ پہلی سی چشم مروت نہیں ہے

فہیم الدین احمد فہیم

وہ پہلی سی چشم مروت نہیں ہے

وہ اگلی سی مجھ پر عنایت نہیں ہے

الجھنے کی غیروں سے عادت نہیں ہے

کروں کیا مری ایسی فطرت نہیں ہے

جو تجھ میں بھلائی ہے وہ بھی کہوں گا

مجھے تجھ سے ناصح عداوت نہیں ہے

جفا و ستم ظلم سب کچھ ہیں تم میں

اگر ہے تو اک آدمیت نہیں ہے

بتو وعدہ کر لو ابھی خوف کیا ہے

ابھی آتی جاتی قیامت نہیں ہے

ستاتے ہیں یہ بت کچھ اس طرح جیسے

کبھی آنے والی قیامت نہیں ہے

ترے ہجر میں سر پہ کیا کچھ نہیں ہے

مصیبت نہیں ہے کہ آفت نہیں ہے

ہمیں نے تو دل سیکڑوں خوں کئے ہیں

ہمیں کو تو اس پر ندامت نہیں ہے

مجھے ہجر کا صدمہ کس شب نہیں ہے

مرے سر پہ کس روز آفت نہیں ہے

کوئی خوب رو کیا ستائے گا مجھ کو

فہیمؔ اب وہ اپنی طبیعت نہیں ہے

فہیمؔ ایسے ظالم کو دے بیٹھے دل تم

کہو کیا ہے گر یہ حماقت نہیں ہے

فہیم الدین احمد فہیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Pahli Si Chashm-e-murawwat Nahin Hai

Faheemuddin Ahmad Faheem

wo pahli si chashm-e-murawwat nahin hai
wo agli si mujh par inayat nahin hai

ulajhne ki ghairon se aadat nahin hai
karun kya meri aisi fitrat nahin hai

jo tujh mein bhalai hai wo bhi kahunga
mujhe tujh se naseh adawat nahin hai

jafa-o-sitam zulm sab kuchh hain tum mein
agar hai to ek aadamiyyat nahin hai

buto wada kar lo abhi KHauf kya hai
abhi aati jati qayamat nahin hai

satate hain ye but kuchh is tarah jaise
kabhi aane wali qayamat nahin hai

tere hijr mein sar pe kya kuchh nahin hai
musibat nahin hai ki aafat nahin hai

hamin ne to dil saikDon KHun kiye hain
hamin ko to is par nadamat nahin hai

mujhe hijr ka sadma kis shab nahin hai
mere sar pe kis roz aafat nahin hai

koi KHub-ru kya sataega mujh ko
'fahim' ab wo apni tabiat nahin hai

'fahim' aise zalim ko de baiThe dil tum
kaho kya hai gar ye himaqat nahin hai

(350) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Pahli Si Chashm-e-murawwat Nahin Hai written by Faheemuddin Ahmad Faheem at UrduPoint. Wo Pahli Si Chashm-e-murawwat Nahin Hai is one of the masterpieces written by Faheemuddin Ahmad Faheem. You can also find the complete poetry collection of Faheemuddin Ahmad Faheem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faheemuddin Ahmad Faheem' above.

Wo Pahli Si Chashm-e-murawwat Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Pahli Si Chashm-e-murawwat Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.