Kawish-e-gham Bhi Hai Zalim Aur Teri Yaad Bhi, Urdu Ghazal By Faheemuddin Ahmad Faheem

Kawish-e-gham Bhi Hai Zalim Aur Teri Yaad Bhi is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faheemuddin Ahmad Faheem. Kawish-e-gham Bhi Hai Zalim Aur Teri Yaad Bhi comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Kawish-e-gham Bhi Hai Zalim Aur Teri Yaad Bhi on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کاوش غم بھی ہے ظالم اور تیری یاد بھی

فہیم الدین احمد فہیم

کاوش غم بھی ہے ظالم اور تیری یاد بھی

یہ دل مضطر مرا ویراں بھی ہے آباد بھی

کیا سزائیں سوچی ہیں کچھ کیجئے ارشاد بھی

لیجئے حاضر ہوں میں بھی اور دل ناشاد بھی

روز اک تازہ ستم وہ بھی نئے انداز سے

داد لے ہی چھوڑتی ہے آپ کی بیداد بھی

دید کے قابل اگر ہے بے ستوں پر جوئے شیر

اک سبق عبرت کا ہے خون سر فرہاد بھی

یہ نہ پوچھو کس طرح کب کس لئے کس واسطے

بس یہ کافی ہے وہاں ہوتی ہے میری یاد بھی

پہلی ہی منزل میں دیکھو اس نے ہمت ہار دی

آسماں سر پر اٹھا کر رہ گئی فریاد بھی

بلبلوں کا پوچھنا گھبرا کے یہ صیاد سے

ہم اسیران قفس ہوں گے کبھی آزاد بھی

امتحاں ہم سخت جانوں کا کوئی کیا کھیل تھا

دیکھو پانی ہو گیا اب خنجر فولاد بھی

جس طرح تجھ کو ملے ہیں عیش و راحت کے شریک

مل رہے گا کوئی مجھ ناشاد کو ناشاد بھی

تھے ستم گر اب زمانے کی روش کو دیکھ کر

رفتہ رفتہ ہو گئے تم تو ستم ایجاد بھی

جس کے خواہاں تھے حسیں جس دل پہ مجھ کو ناز تھا

کچھ خبر بھی ہے تمہیں وہ ہو گیا برباد بھی

تنگ دل رکھتا ہے ظالم ہر گھڑی تو کیوں مجھے

ڈر ہے گھٹ گھٹ کر نہ اکتا جائے تیری یاد بھی

غیر جھوٹا ہے بھلا میں بے وفا تم کو کہوں

اس کی رنجش کیا نہ ہو جس بات کی بنیاد بھی

وعدۂ محشر وہ کر کے خود ہی یوں کہنے لگے

ہو تو سب کچھ جب رہے اس بھیڑ میں کچھ یاد بھی

کام آ جاتی ہے اکثر عشق میں دیوانگی

میں اگر سمجھو تو ہوں پابند بھی آزاد بھی

میں نے دیکھا ہے محبت کا اثر دونوں طرح

یہ کبھی آباد کرتی ہے کبھی برباد بھی

ناتوانی کا برا ہو وہ تو آئے وقت نزع

رک گئی ہونٹوں تک آ کر آخری فریاد بھی

اے فہیمؔ اس شوخ کی ہیں سب ادائیں انتخاب

بامزا ہے اس ستم ایجاد کی بیداد بھی

فہیم الدین احمد فہیم

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Kawish-e-gham Bhi Hai Zalim Aur Teri Yaad Bhi

Faheemuddin Ahmad Faheem

kawish-e-gham bhi hai zalim aur teri yaad bhi
ye dil-e-muztar mera viran bhi hai aabaad bhi

kya sazaen sochi hain kuchh kijiye irshad bhi
lijiye hazir hun main bhi aur dil-e-nashad bhi

roz ek taza sitam wo bhi nae andaz se
dad le hi chhoDti hai aap ki bedad bhi

did ke qabil agar hai be-sutun par ju-e-shir
ek sabaq ibrat ka hai KHun-e-sar-e-farhad bhi

ye na puchho kis tarah kab kis liye kis waste
bas ye kafi hai wahan hoti hai meri yaad bhi

pahli hi manzil mein dekho us ne himmat haar di
aasman sar par uTha kar rah gai fariyaad bhi

bulbulon ka puchhna ghabra ke ye sayyaad se
hum asiran-e-qafas honge kabhi aazad bhi

imtihan hum saKHt-jaanon ka koi kya khel tha
dekho pani ho gaya ab KHanjar-e-faulad bhi

jis tarah tujh ko mile hain aish-o-rahat ke sharik
mil rahega koi mujh nashad ko nashad bhi

the sitamgar ab zamane ki rawish ko dekh kar
rafta rafta ho gae tum to sitam-ijad bhi

jis ke KHwahan the hasin jis dil pe mujh ko naz tha
kuchh KHabar bhi hai tumhein wo ho gaya barbaad bhi

tang-dil rakhta hai zalim har ghaDi tu kyon mujhe
Dar hai ghuT ghuT kar na ukta jae teri yaad bhi

ghair jhuTa hai bhala main bewafa tum ko kahun
us ki ranjish kya na ho jis baat ki buniyaad bhi

wada-e-mahshar wo kar ke KHud hi yun kahne lage
ho to sab kuchh jab rahe is bhiD mein kuchh yaad bhi

kaam aa jati hai aksar ishq mein diwangi
main agar samjho to hun paband bhi aazad bhi

main ne dekha hai mohabbat ka asar donon tarah
ye kabhi aabaad karti hai kabhi barbaad bhi

na-tawani ka bura ho wo to aae waqt-e-naza
ruk gai honTon tak aa kar aaKHiri fariyaad bhi

ai 'fahim' us shoKH ki hain sab adaen intiKHab
ba-maza hai us sitam-ijad ki bedad bhi

(428) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Kawish-e-gham Bhi Hai Zalim Aur Teri Yaad Bhi written by Faheemuddin Ahmad Faheem at UrduPoint. Kawish-e-gham Bhi Hai Zalim Aur Teri Yaad Bhi is one of the masterpieces written by Faheemuddin Ahmad Faheem. You can also find the complete poetry collection of Faheemuddin Ahmad Faheem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faheemuddin Ahmad Faheem' above.

Kawish-e-gham Bhi Hai Zalim Aur Teri Yaad Bhi is a widely read Urdu Ghazal. If you like Kawish-e-gham Bhi Hai Zalim Aur Teri Yaad Bhi, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.