Ye Tira-baKHt Bayanon Mein Qaid Rahte Hain, Urdu Ghazal By Faisal Saeed Zirgham

Ye Tira-baKHt Bayanon Mein Qaid Rahte Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Faisal Saeed Zirgham. Ye Tira-baKHt Bayanon Mein Qaid Rahte Hain comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Tira-baKHt Bayanon Mein Qaid Rahte Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ تیرہ بخت بیانوں میں قید رہتے ہیں

فیصل سعید ضرغام

یہ تیرہ بخت بیانوں میں قید رہتے ہیں

وطن ہمارے ترانوں میں قید رہتے ہیں

خودی سے دور رگ ہائے سنگ میں ساکت

مرے یقین گمانوں میں قید رہتے ہیں

سڑک پہ خواہشیں بے نام و ننگ پھرتی ہیں

زمیں کے خواب زمانوں میں قید رہتے ہیں

کہا فلک نے یہ اڑتے ہوئے پرندوں سے

زمیں پہ لوگ مکانوں میں قید رہتے ہیں

مرے خدا نے کہا ہے کہ ہر جگہ ہے وہ

ترے خدا تو فسانوں میں قید رہتے ہیں

فیصل سعید ضرغام

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Tira-baKHt Bayanon Mein Qaid Rahte Hain

Faisal Saeed Zirgham

ye tira-baKHt bayanon mein qaid rahte hain
watan hamare taranon mein qaid rahte hain

KHudi se dur rag-e-ha-e-sang mein sakit
mere yaqin gumanon mein qaid rahte hain

saDak pe KHwahishen be-nam-o-nang phirti hain
zamin ke KHwab zamanon mein qaid rahte hain

kaha falak ne ye uDte hue parindon se
zamin pe log makanon mein qaid rahte hain

mere KHuda ne kaha hai ki har jagah hai wo
tere KHuda to fasanon mein qaid rahte hain

(652) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Tira-baKHt Bayanon Mein Qaid Rahte Hain written by Faisal Saeed Zirgham at UrduPoint. Ye Tira-baKHt Bayanon Mein Qaid Rahte Hain is one of the masterpieces written by Faisal Saeed Zirgham. You can also find the complete poetry collection of Faisal Saeed Zirgham by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Faisal Saeed Zirgham' above.

Ye Tira-baKHt Bayanon Mein Qaid Rahte Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Tira-baKHt Bayanon Mein Qaid Rahte Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.