Sukun-e-zat Waqf-e-intishaar Kar Liya Gaya, Urdu Ghazal By Farhat Nadir Rizwi

Sukun-e-zat Waqf-e-intishaar Kar Liya Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Farhat Nadir Rizwi. Sukun-e-zat Waqf-e-intishaar Kar Liya Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sukun-e-zat Waqf-e-intishaar Kar Liya Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

سکون ذات وقف انتشار کر لیا گیا

فرحت نادر رضوی

سکون ذات وقف انتشار کر لیا گیا

غضب ہوا کہ دل کا اعتبار کر لیا گیا

قدم قدم ملے جو آبلے رہ حیات میں

تو آنسوؤں کو مثل آبشار کر لیا گیا

امید صبح و شام غم کے درمیاں بسر جو کی

تو ساعتوں کو درد میں شمار کر لیا گیا

ملا فریب و مکر سے بھی کب وہ حیلہ جو مگر

لباس سادگی کا داغدار کر لیا گیا

نکیر نے مدد بڑی حساب رکھ کے کی مری

گنہ تمام عمر بے شمار کر لیا گیا

زبان و جسم و جان و دل گواہ سب جو بن گئے

تو جرم ان سے ہو کے درکنار کر لیا گیا

گواہ عدلیہ ثبوت حاشیوں پہ آ گئے

حکایتوں پہ ایسے اعتبار کر لیا گیا

زبان حال منتخب ہوئی بیان درد کو

وجود آپ اپنا تار تار کر لیا گیا

گراں زمین کشت غم جگر کو نقد کی ادا

مسرتوں کا وہم تھا ادھار کر لیا گیا

جو ایک جام فرحتؔ حیات کی امید تھا

ستم یہ ہے کہ وہ بھی کل پکار کر لیا گیا

فرحت نادر رضوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sukun-e-zat Waqf-e-intishaar Kar Liya Gaya

Farhat Nadir Rizwi

sukun-e-zat waqf-e-intishaar kar liya gaya
ghazab hua ki dil ka e'tibar kar liya gaya

qadam qadam mile jo aable rah-e-hayat mein
to aansuon ko misl-e-abshaar kar liya gaya

umid-e-subh-o-sham gham ke darmiyan basar jo ki
to saaton ko dard mein shumar kar liya gaya

mila fareb-o-makr se bhi kab wo hila jo magar
libas sadgi ka dagh-dar kar liya gaya

nakir ne madad baDi hisab rakh ke ki meri
gunah tamam umr be-shumar kar liya gaya

zaban-o-jism-o-jaan-o-dil gawah sab jo ban gae
to jurm un se ho ke darkinar kar liya gaya

gawah adliya subut hashiyon pe aa gae
hikayaton pe aise e'tibar kar liya gaya

zaban-e-haal muntaKHab hui bayan-e-dard ko
wajud aap apna tar-tar kar liya gaya

garan zamin-e-kisht-e-gham-e-jigar ko naqd ki ada
masarraton ka wahm tha udhaar kar liya gaya

jo ek jam 'farhat'-e-hayat ki umid tha
sitam ye hai ki wo bhi kal pukar kar liya gaya

(584) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Sukun-e-zat Waqf-e-intishaar Kar Liya Gaya written by Farhat Nadir Rizwi at UrduPoint. Sukun-e-zat Waqf-e-intishaar Kar Liya Gaya is one of the masterpieces written by Farhat Nadir Rizwi. You can also find the complete poetry collection of Farhat Nadir Rizwi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Farhat Nadir Rizwi' above.

Sukun-e-zat Waqf-e-intishaar Kar Liya Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sukun-e-zat Waqf-e-intishaar Kar Liya Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.