Manus Fazaon Se Nikalte Hue Kuchh Log, Urdu Ghazal By Fatima Nausheen

Manus Fazaon Se Nikalte Hue Kuchh Log is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Fatima Nausheen. Manus Fazaon Se Nikalte Hue Kuchh Log comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Manus Fazaon Se Nikalte Hue Kuchh Log on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مانوس فضاؤں سے نکلتے ہوئے کچھ لوگ

فاطمہ نوشین

مانوس فضاؤں سے نکلتے ہوئے کچھ لوگ

گمراہ ہوئے گھر کو مچلتے ہوئے کچھ لوگ

تم نرم سماعت پہ دھرو ہاتھ کہ ہم آگ

اشعار کی صورت میں اگلتے ہوئے کچھ لوگ

دوبارہ بنے تو نہیں ٹوٹیں گے کسی سے

ہم وصل کی حدت سے پگھلتے ہوئے کچھ لوگ

منظر میں نہ ہونے کا تأسف ہے انہیں کیا

اک سمت کھڑے ہاتھ مسلتے ہوئے کچھ لوگ

پھر اور کسی دہر کے مہمان بنے ہیں

سورج کی طرح عصر کو ڈھلتے ہوئے کچھ لوگ

پتھر کے ہوئے تو بڑی تکلیف ہوئی ہے

خوابوں کی طرح آنکھ میں پلتے ہوئے کچھ لوگ

نقصان بڑھاپے کا یہی سب سے بڑا ہے

رعشہ زدہ ہاتھوں سے پھسلتے ہوئے کچھ لوگ

کیا پہلے کبھی مہر نہیں نکلا یہاں پر

کیوں شور مچاتے ہیں یہ جلتے ہوئے کچھ لوگ

چلتے ہیں سنبھل کر تو خسارے میں رہے ہیں

اچھے رہے گر گر کے سنبھلتے ہوئے کچھ لوگ

فاطمہ نوشین

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Manus Fazaon Se Nikalte Hue Kuchh Log

Fatima Nausheen

manus fazaon se nikalte hue kuchh log
gumrah hue ghar ko machalte hue kuchh log

tum narm samaat pe dharo hath ki hum aag
ashaar ki surat mein ugalte hue kuchh log

dobara bane to nahin TuTenge kisi se
hum wasl ki hiddat se pighalte hue kuchh log

manzar mein na hone ka tassuf hai unhen kya
ek samt khaDe hath masalte hue kuchh log

phir aur kisi dahr ke mehman bane hain
suraj ki tarah asr ko Dhalte hue kuchh log

patthar ke hue to baDi taklif hui hai
KHwabon ki tarah aankh mein palte hue kuchh log

nuqsan buDhape ka yahi sab se baDa hai
rasha-zada hathon se phisalte hue kuchh log

kya pahle kabhi mahr nahin nikla yahan par
kyun shor machate hain ye jalte hue kuchh log

chalte hain sanbhal kar to KHasare mein rahe hain
achchhe rahe gar gir ke sambhalte hue kuchh log

(841) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Manus Fazaon Se Nikalte Hue Kuchh Log written by Fatima Nausheen at UrduPoint. Manus Fazaon Se Nikalte Hue Kuchh Log is one of the masterpieces written by Fatima Nausheen. You can also find the complete poetry collection of Fatima Nausheen by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Fatima Nausheen' above.

Manus Fazaon Se Nikalte Hue Kuchh Log is a widely read Urdu Ghazal. If you like Manus Fazaon Se Nikalte Hue Kuchh Log, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.