Husn Ke Zer-e-bar Ho Ki Na Ho, Urdu Ghazal By Ghalib Ayaz

Husn Ke Zer-e-bar Ho Ki Na Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ghalib Ayaz. Husn Ke Zer-e-bar Ho Ki Na Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Husn Ke Zer-e-bar Ho Ki Na Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

حسن کے زیر بار ہو کہ نہ ہو

غالب ایاز

حسن کے زیر بار ہو کہ نہ ہو

اب یہ دل بے قرار ہو کہ نہ ہو

مرگ انبوہ دیکھ آتے ہیں

آنکھ پھر اشکبار ہو کہ نہ ہو

کرب پیہم سے ہو گیا پتھر

اب یہ سینہ فگار ہو کہ نہ ہو

پھر یہی رت ہو عین ممکن ہے

پر ترا انتظار ہو کہ نہ ہو

شاخ زیتون کے امیں ہیں ہم

شہر میں انتشار ہو کہ نہ ہو

شعر میرے سنبھال کر رکھنا

اب غزل مشکبار ہو کہ نہ ہو

غالب ایاز

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Husn Ke Zer-e-bar Ho Ki Na Ho

Ghalib Ayaz

husn ke zer-e-bar ho ki na ho
ab ye dil be-qarar ho ki na ho

marg-e-amboh dekh aate hain
aankh phir ashk-bar ho ki na ho

karb-e-paiham se ho gaya patthar
ab ye sina figar ho ki na ho

phir yahi rut ho ain mumkin hai
par tera intizar ho ki na ho

shaKH-e-zaitun ke amin hain hum
shahr mein intishaar ho ki na ho

sher mere sambhaal kar rakhna
ab ghazal mushk-bar ho ki na ho

(665) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Husn Ke Zer-e-bar Ho Ki Na Ho written by Ghalib Ayaz at UrduPoint. Husn Ke Zer-e-bar Ho Ki Na Ho is one of the masterpieces written by Ghalib Ayaz. You can also find the complete poetry collection of Ghalib Ayaz by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghalib Ayaz' above.

Husn Ke Zer-e-bar Ho Ki Na Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Husn Ke Zer-e-bar Ho Ki Na Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.