Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai, Urdu Ghazal By Ghamgeen Dehlvi

Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ghamgeen Dehlvi. Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ پوچھ ہجر میں جو حال اب ہمارا ہے

غمگین دہلوی

نہ پوچھ ہجر میں جو حال اب ہمارا ہے

امید وصل ہی پر ان دنوں گزارا ہے

نہ دیکھوں تجھ کو تو آتا نہیں کچھ آہ نظر

تو میری پتلی کا آنکھوں کی یار تارا ہے

مجھے جو بام پہ شب کو بلائے ہے وہ ماہ

مگر عروج پہ کیا ان دنوں ستارا ہے

یقین جان تو واعظ کہ دین و دنیا میں

بس اس کی صرف مجھے ذات کا سہارا ہے

عجب طرح سے نظر پڑ گیا مرے ہمدم

قیامت آہ وہ مکھڑا بھی پیارا پیارا ہے

مجھے جو دوستی ہے اس کو دشمنی مجھ سے

نہ اختیار ہے اس کا نہ میرا چارا ہے

کہا جو میں نے پلاتے ہو بزم میں سب کو

مگر ہمیں ہی نہیں کیا گنہ ہمارا ہے

تو بولے وہ کہ جسے چاہیں ہم پلائیں شراب

خوشی ہماری ترا اس میں کیا اجارا ہے

گیا وہ پردہ نشیں جب سے اپنے گھر غمگیںؔ

تمام خلق سے دل کو مرے کنارا ہے

غمگین دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai

Ghamgeen Dehlvi

na puchh hijr mein jo haal ab hamara hai
umid-e-wasl hi par in dinon guzara hai

na dekhun tujh ko to aata nahin kuchh aah nazar
tu meri putli ka aankhon ki yar tara hai

mujhe jo baam pe shab ko bulae hai wo mah
magar uruj pe kya in dinon sitara hai

yaqin jaan tu waiz ki din o duniya mein
bas us ki sirf mujhe zat ka sahaara hai

ajab tarah se nazar paD gaya mere hamdam
qayamat aah wo mukhDa bhi pyara pyara hai

mujhe jo dosti hai us ko dushmani mujh se
na iKHtiyar hai us ka na mera chaara hai

kaha jo main ne pilate ho bazm mein sab ko
magar hamein hi nahin kya gunah hamara hai

to bole wo ki jise chahen hum pilaen sharab
KHushi hamari tera is mein kya ijara hai

gaya wo parda-nashin jab se apne ghar 'ghamgin'
tamam KHalq se dil ko mere kinara hai

(662) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai written by Ghamgeen Dehlvi at UrduPoint. Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai is one of the masterpieces written by Ghamgeen Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Ghamgeen Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghamgeen Dehlvi' above.

Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Puchh Hijr Mein Jo Haal Ab Hamara Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.