Muntashir Shahzad-gan-e-dil Ka Shiraaza Na Ho, Urdu Ghazal By Ghaus Mohammad Ghausi

Muntashir Shahzad-gan-e-dil Ka Shiraaza Na Ho is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ghaus Mohammad Ghausi. Muntashir Shahzad-gan-e-dil Ka Shiraaza Na Ho comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Muntashir Shahzad-gan-e-dil Ka Shiraaza Na Ho on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

منتشر شہزاد گان دل کا شیرازہ نہ ہو

غوث محمد غوثی

منتشر شہزاد گان دل کا شیرازہ نہ ہو

کاش یاروں کی ہنسی فتنوں کا غمازہ نہ ہو

اب وہ سونے کا سہی لیکن مرے کس کام کا

جس مکاں میں کوئی کھڑکی کوئی کوئی دروازہ نہ ہو

وہ جواں خون اور اس پر نشہ دیدہ وری

کیا کریں وہ بھی جو میرے غم کا اندازہ نہ ہو

یاد ہے کچھ تم نے کل خاکہ اڑایا تھا مرا

پھول سی آنکھوں میں شبنم کل کا خمیازہ نہ ہو

پھر جنوں کیوں کر سجے دنیا کو کیسے رنگ دے

باعث تحریک اگر یاروں کا آوازہ نہ ہو

کاش میرے غم کا سایہ بھی رہے اپنوں سے دور

کاش اب یکجا مری یادوں کا شیرازہ نہ ہو

آ گلے ملنے سے پہلے کیوں نہ مل کر دیکھ لیں

دل کے تہہ خانے میں کوئی چور دروازہ نہ ہو

وہ تو مردہ ہیں انہیں احساس کی خوشبو سے کیا

اپنے انداز نظر کا جن کو اندازہ نہ ہو

کاش اے غوثیؔ زمانے بھر کا بچپن لوٹ آئے

سب کے چہروں پر حقیقی نور ہو غازہ نہ ہو

غوث محمد غوثی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Muntashir Shahzad-gan-e-dil Ka Shiraaza Na Ho

Ghaus Mohammad Ghausi

muntashir shahzad-gan-e-dil ka shiraaza na ho
kash yaron ki hansi fitnon ka ghammaza na ho

ab wo sone ka sahi lekin mere kis kaam ka
jis makan mein koi khiDki koi koi darwaza na ho

wo jawan KHun aur us par nashsha-e-dida-wari
kya karen wo bhi jo mere gham ka andaza na ho

yaad hai kuchh tum ne kal KHaka uDaya tha mera
phul si aankhon mein shabnam kal ka KHamyaza na ho

phir junun kyun-kar saje duniya ko kaise rang de
bais-e-tahrik agar yaron ka aawaza na ho

kash mere gham ka saya bhi rahe apnon se dur
kash ab yakja meri yaadon ka shiraaza na ho

aa gale milne se pahle kyun na mil kar dekh len
dil ke tah-KHane mein koi chor darwaza na ho

wo to murda hain unhen ehsas ki KHushbu se kya
apne andaz-e-nazar ka jin ko andaza na ho

kash ai 'ghausi' zamane bhar ka bachpan lauT aae
sab ke chehron par haqiqi nur ho ghaza na ho

(694) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Muntashir Shahzad-gan-e-dil Ka Shiraaza Na Ho written by Ghaus Mohammad Ghausi at UrduPoint. Muntashir Shahzad-gan-e-dil Ka Shiraaza Na Ho is one of the masterpieces written by Ghaus Mohammad Ghausi. You can also find the complete poetry collection of Ghaus Mohammad Ghausi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ghaus Mohammad Ghausi' above.

Muntashir Shahzad-gan-e-dil Ka Shiraaza Na Ho is a widely read Urdu Ghazal. If you like Muntashir Shahzad-gan-e-dil Ka Shiraaza Na Ho, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.