Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai, Urdu Ghazal By Hafeez Banarasi

Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hafeez Banarasi. Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ کیسی ہوائے غم و آزار چلی ہے

حفیظ بنارسی

یہ کیسی ہوائے غم و آزار چلی ہے

خود باد بہاری بھی شرر بار چلی ہے

دیکھی ہی نہ تھی جس نے شکست آج تک اپنی

وہ چشم فسوں خیز بھی دل ہار چلی ہے

اب کوئی حدیث قد و گیسو نہیں سنتا

دنیا میں وہ رسم رسن و دار چلی ہے

تکتا ہی نہیں کوئی مے و جام کی جانب

کیا چال یہ تو نے نگہ یار چلی ہے

وہ لوگ کہاں جائیں جو کافر ہیں نہ دیں دار

پھر کشمکش کافر و دیں دار چلی ہے

بات اور بھی کچھ مے کی مذمت کے علاوہ

یہ بات تو اے شیخ کئی بار چلی ہے

دیوانگئ شوق میں جو کر گئے ہم لوگ

معیار خرد بن کے وہ گفتار چلی ہے

سازش نہ ہو کچھ دیر و حرم والوں کی اس میں

سنتا ہوں کہ مے خانے میں تلوار چلی ہے

کب یاد کیا ہم کو حفیظؔ اہل چمن نے

جب زیست سوئے وادئ پر خار چلی ہے

حفیظ بنارسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai

Hafeez Banarasi

ye kaisi hawa-e-gham-o-azar chali hai
KHud baad-e-bahaari bhi sharar-bar chali hai

dekhi hi na thi jis ne shikast aaj tak apni
wo chashm-e-fusun-KHez bhi dil haar chali hai

ab koi hadis-e-qad-o-gesu nahin sunta
duniya mein wo rasm-e-rasan-o-dar chali hai

takta hi nahin koi mai o jam ki jaanib
kya chaal ye tu ne nigah-e-yar chali hai

wo log kahan jaen jo kafir hain na din-dar
phir kashmakash-e-kafir-o-din-dar chali hai

baat aur bhi kuchh mai ki mazammat ke alawa
ye baat to ai shaiKH kai bar chali hai

diwangi-e-shauq mein jo kar gae hum log
meyar-e-KHirad ban ke wo guftar chali hai

sazish na ho kuchh dair o haram walon ki is mein
sunta hun ki mai-KHane mein talwar chali hai

kab yaad kiya hum ko 'hafiz' ahl-e-chaman ne
jab zist su-e-wadi-e-pur-KHar chali hai

(770) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai written by Hafeez Banarasi at UrduPoint. Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai is one of the masterpieces written by Hafeez Banarasi. You can also find the complete poetry collection of Hafeez Banarasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hafeez Banarasi' above.

Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Kaisi Hawa-e-gham-o-azar Chali Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.