Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai, Urdu Ghazal By Hafeez Banarasi

Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hafeez Banarasi. Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ہمارے عہد کا منظر عجیب منظر ہے

حفیظ بنارسی

ہمارے عہد کا منظر عجیب منظر ہے

بہار چہرے پہ دل میں خزاں کا دفتر ہے

نہ ہم سفر نا کوئی نقش پا نا رہبر ہے

جنوں کی راہ میں کچھ ہے تو جان کا ڈر ہے

ہر ایک لمحہ ہمیں ڈر ہے ٹوٹ جانے کا

یہ زندگی ہے کہ بوسیدہ کانچ کا گھر ہے

اسی سے لڑتے ہوئے ایک عمر بیت گئی

مری انا ہی مرے راستے کا پتھر ہے

تمام جسم ہیں جس کے خیال میں لرزاں

وہ تیرگی کا نہیں روشنی کا خنجر ہے

میں ایک قطرہ ہوں لیکن مرا نصیب تو دیکھ

کہ بے قرار مرے غم میں اک سمندر ہے

اسی کے پیچھے رواں ہوں میں پاگلوں کی طرح

وہ ایک شے جو مری دسترس سے باہر ہے

اسی خیال سے ملتا ہے کچھ سکوں دل کو

کہ ناصبوری تو اس دور کا مقدر ہے

کبھی تو اس سے ملاقات کی گھڑی آئے

جو میرے دل میں بسا ہے جو میرے اندر ہے

عقاب ظلم کے پنجے ابھی کہاں ٹوٹے

ابھی تو فاختۂ امن خون میں تر ہے

خدا کی مار ہو اس جہل آگہی پہ حفیظؔ

بہ زعم خود یہاں ہر شخص اک پیمبر ہے

حفیظ بنارسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai

Hafeez Banarasi

hamare ahd ka manzar ajib manzar hai
bahaar chehre pe dil mein KHizan ka daftar hai

na ham-safar na koi naqsh-e-pa na rahbar hai
junun ki rah mein kuchh hai to jaan ka Dar hai

har ek lamha hamein Dar hai TuT jaane ka
ye zindagi hai ki bosida kanch ka ghar hai

isi se laDte hue ek umr bit gai
meri ana hi mere raste ka patthar hai

tamam jism hain jis ke KHayal mein larzan
wo tirgi ka nahin raushni ka KHanjar hai

main ek qatra hun lekin mera nasib to dekh
ki be-qarar mere gham mein ek samundar hai

usi ke pichhe rawan hun main pagalon ki tarah
wo ek shai jo meri dastaras se bahar hai

isi KHayal se milta hai kuchh sakun dil ko
ki na-suburi to is daur ka muqaddar hai

kabhi to is se mulaqat ki ghaDi aae
jo mere dil mein basa hai jo mere andar hai

uqab-e-zulm ke panje abhi kahan TuTe
abhi to faKHta-e-aman KHun mein tar hai

KHuda ki mar ho is jehl-e-agahi pe 'hafiz'
ba-zoam-e-KHud yahan har shaKHs ek payambar hai

(833) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai written by Hafeez Banarasi at UrduPoint. Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai is one of the masterpieces written by Hafeez Banarasi. You can also find the complete poetry collection of Hafeez Banarasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hafeez Banarasi' above.

Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Hamare Ahd Ka Manzar Ajib Manzar Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.