Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya, Urdu Ghazal By Hafeez Banarasi

Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hafeez Banarasi. Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

یہ حادثہ بھی شہر نگاراں میں ہو گیا

حفیظ بنارسی

یہ حادثہ بھی شہر نگاراں میں ہو گیا

بے چہرگی کی بھیڑ میں ہر چہرہ کھو گیا

جس کو سزا ملی تھی کہ جاگے تمام عمر

سنتا ہوں آج موت کی بانہوں میں سو گیا

حرکت کسی میں ہے نہ حرارت کسی میں ہے

کیا شہر تھا جو برف کی چٹان ہو گیا

میں اس کو نفرتوں کے سوا کچھ نہ دے سکا

وہ چاہتوں کا بیج مرے دل میں بو گیا

مرہم تو رکھ سکا نہ کوئی میرے زخم پر

جو آیا ایک نشتر تازہ چبھو گیا

یا کیجئے قبول کہ ہر چہرہ زرد ہے

یا کہئے ہر نگاہ کو یرقان ہو گیا

میں نے تو اپنے غم کی کہانی سنائی تھی

کیوں اپنے اپنے غم میں ہر اک شخص کھو گیا

اس دشمن وفا کو دعا دے رہا ہوں میں

میرا نہ ہو سکا وہ کسی کا تو ہو گیا

اک ماہ وش نے چوم لی پیشانی حفیظؔ

دلچسپ حادثہ تھا جو کل رات ہو گیا

حفیظ بنارسی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya

Hafeez Banarasi

ye hadsa bhi shahr-e-nigaran mein ho gaya
be-chehragi ki bhiD mein har chehra kho gaya

jis ko saza mili thi ki jage tamam umr
sunta hun aaj maut ki banhon mein so gaya

harkat kisi mein hai na hararat kisi mein hai
kya shahr tha jo barf ki chaTTan ho gaya

main us ko nafraton ke siwa kuchh na de saka
wo chahaton ka bij mere dil mein bo gaya

marham to rakh saka na koi mere zaKHm par
jo aaya ek nishtar-e-taza chubho gaya

ya kijiye qubul ki har chehra zard hai
ya kahiye har nigah ko yarqan ho gaya

main ne to apne gham ki kahani sunai thi
kyun apne apne gham mein har ek shaKHs kho gaya

us dushman-e-wafa ko dua de raha hun main
mera na ho saka wo kisi ka to ho gaya

ek mah-wash ne chum li peshani-e-'hafiz'
dilchasp hadsa tha jo kal raat ho gaya

(885) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya written by Hafeez Banarasi at UrduPoint. Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya is one of the masterpieces written by Hafeez Banarasi. You can also find the complete poetry collection of Hafeez Banarasi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hafeez Banarasi' above.

Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ye Hadsa Bhi Shahr-e-nigaran Mein Ho Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.