Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke, Urdu Ghazal By Hafeez Hoshiarpuri

Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hafeez Hoshiarpuri. Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

غم آفاق ہے رسوا غم دلبر بن کے

حفیظ ہوشیارپوری

غم آفاق ہے رسوا غم دلبر بن کے

تہمت عشق لگی ہم پہ سخن ور بن کے

وہ نہیں موت سہی موت نہیں نیند سہی

کوئی آ جائے شب غم کا مقدر بن کے

راہبر تم کو بنایا ہمیں معلوم نہ تھا

راہرو راہ بھٹک جاتے ہیں رہبر بن کے

اس زیاں خانے میں اک قطرے پہ کیا کیا گزری

کبھی آنسو کبھی شبنم کبھی گوہر بن کے

موت کی نیند کے ماتوں پہ نہ کیوں رشک آئے

جاگنا ہے انہیں ہنگامۂ محشر بن کے

یاد پھر آ گئیں بھولی ہوئی باتیں کیا کیا

پھر ملاقات ہوئی ایسے مقدر بن کے

آہ یہ عقدۂ غم بزم طرب میں بھی حفیظؔ

بارہا آنکھ چھلک جاتی ہے ساغر بن کے

حفیظ ہوشیارپوری

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke

Hafeez Hoshiarpuri

gham-e-afaq hai ruswa gham-e-dil-bar ban ke
tohmat-e-ishq lagi hum pe suKHan-war ban ke

wo nahin maut sahi maut nahin nind sahi
koi aa jae shab-e-gham ka muqaddar ban ke

rahbar tum ko banaya hamein malum na tha
rah-rau rah bhaTak jate hain rahbar ban ke

is ziyan-KHane mein ek qatre pe kya kya guzri
kabhi aansu kabhi shabnam kabhi gauhar ban ke

maut ki nind ke maton pe na kyun rashk aae
jagna hai unhen hangama-e-mahshar ban ke

yaad phir aa gain bhuli hui baaten kya kya
phir mulaqat hui aise muqaddar ban ke

aah ye uqda-e-gham bazm-e-tarab mein bhi 'hafiz'
bar-ha aankh chhalak jati hai saghar ban ke

(672) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke written by Hafeez Hoshiarpuri at UrduPoint. Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke is one of the masterpieces written by Hafeez Hoshiarpuri. You can also find the complete poetry collection of Hafeez Hoshiarpuri by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hafeez Hoshiarpuri' above.

Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gham-e-afaq Hai Ruswa Gham-e-dil-bar Ban Ke, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.