Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai, Urdu Ghazal By Hassan Naeem

Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hassan Naeem. Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai

Hassan Naeem

jabr-e-shahi ka sirf baghawat ilaj hai
apna azal se ek husaini mizaj hai

aage to zahr-e-ishq mein sab zahr the ghule
ab shairi ki jaan rag-e-ehtijaj hai

aali nazar ke sher pe tikhe mubahise
be-nur aalimon ka maraz la-ilaj hai

har aan hain dimagh mein afkar-e-shab-nawaz
is gham ki saltanat mein bas ek dil siraj hai

kya di hai lab-kushai ki qimat use bhi dekh
is daftar-e-nawa mein sabhi indiraj hai

is sondhi miTTiyon ne diya rang o zaiqa
hiron se baDh ke aab mein mulki anaj hai

'iqbaal' ki nawa se musharraf hai go 'naim'
urdu ke sar pe 'mir' ki ghazlon ka taj hai

(483) ووٹ وصول ہوئے

You can read Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai written by Hassan Naeem at UrduPoint. Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai is one of the masterpieces written by Hassan Naeem. You can also find the complete poetry collection of Hassan Naeem by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hassan Naeem' above.

Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jabr-e-shahi Ka Sirf Baghawat Ilaj Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.