Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun, Urdu Ghazal By Heera Lal Falak Dehlvi

Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Heera Lal Falak Dehlvi. Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اشک غم وہ ہے جو دنیا کو دکھا بھی نہ سکوں

ہیرا لال فلک دہلوی

اشک غم وہ ہے جو دنیا کو دکھا بھی نہ سکوں

اور گر جائے زمیں پر تو اٹھا بھی نہ سکوں

یہ مرے غم کا فسانہ ہے رہے گا لب پر

تیری روداد نہیں ہے کہ سنا بھی نہ سکوں

پرتو حسن ہوں اس واسطے محدود ہوں میں

حسن ہو جاؤں تو دنیا میں سما بھی نہ سکوں

تیز کچھ وقت کی رفتار نہیں ہے لیکن

تم اگر ساتھ نہ دو پاؤں بڑھا بھی نہ سکوں

اب وہی لوگ بگاڑی ہے جنہوں نے قسمت

چاہتے ہیں کہ میں تقدیر بنا بھی نہ سکوں

آج ناکام سہی کل کا بھروسہ ہے مجھے

عشق پھر کیا جو تجھے اپنا بنا بھی نہ سکوں

دل کہاں ایک سیہ خانہ ہے رنج و غم کا

اس قدر داغ لگے ہیں کہ مٹا بھی نہ سکوں

دل کی گہرائی سے اے دوست ذرا کہہ تو سہی

جان ایسی تو نہیں جس کو گنوا بھی نہ سکوں

عمر گزری کبھی ساقی نے فلکؔ یہ نہ کہا

اتنی پی لے کہ تجھے ہوش میں لا بھی نہ سکوں

ہیرا لال فلک دہلوی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun

Heera Lal Falak Dehlvi

ashk-e-gham wo hai jo duniya ko dikha bhi na sakun
aur gir jae zamin par to uTha bhi na sakun

ye mere gham ka fasana hai rahega lab par
teri rudad nahin hai ki suna bhi na sakun

partaw-e-husn hun is waste mahdud hun main
husn ho jaun to duniya mein sama bhi na sakun

tez kuchh waqt ki raftar nahin hai lekin
tum agar sath na do panw baDha bhi na sakun

ab wahi log bigaDi hai jinhon ne qismat
chahte hain ki main taqdir bana bhi na sakun

aaj nakaam sahi kal ka bharosa hai mujhe
ishq phir kya jo tujhe apna bana bhi na sakun

dil kahan ek siyah-KHana hai ranj-o-gham ka
is qadar dagh lage hain ki miTa bhi na sakun

dil ki gahrai se ai dost zara kah to sahi
jaan aisi to nahin jis ko ganwa bhi na sakun

umr guzri kabhi saqi ne 'falak' ye na kaha
itni pi le ki tujhe hosh mein la bhi na sakun

(860) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun written by Heera Lal Falak Dehlvi at UrduPoint. Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun is one of the masterpieces written by Heera Lal Falak Dehlvi. You can also find the complete poetry collection of Heera Lal Falak Dehlvi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Heera Lal Falak Dehlvi' above.

Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun is a widely read Urdu Ghazal. If you like Ashk-e-gham Wo Hai Jo Duniya Ko Dikha Bhi Na Sakun, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.