Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha, Urdu Ghazal By Hilal Fareed

Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hilal Fareed. Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

رکنے کے لیے دست ستم گر بھی نہیں تھا

ہلال فرید

رکنے کے لیے دست ستم گر بھی نہیں تھا

افسوس کسی ہاتھ میں پتھر بھی نہیں تھا

باہر جو نہیں تھا تو کوئی بات نہیں تھی

احساس ندامت مگر اندر بھی نہیں تھا

جنت نہ مجھے دی تو میں دوزخ بھی نہ لوں گا

مومن جو نہیں تھا تو میں کافر بھی نہیں تھا

لوٹا جو وطن کو تو وہ رستے ہی نہیں تھے

جو گھر تھا وہاں وہ تو مرا گھر بھی نہیں تھا

انجام تو ظاہر تھا صفیں ٹوٹ چکی تھیں

سالار معزز سر لشکر بھی نہیں تھا

افسوس قبیلے پہ کھلا غیر کے ہاتھوں

سردار کے پہلو میں تو خنجر بھی نہیں تھا

جو بات کہی تھی وہ بہت صاف کہی تھی

دل میں جو نہیں تھا وہ زباں پر بھی نہیں تھا

یہ سچ ہے قصیدہ نہ ہلالؔ ایک بھی لکھا

یہ سچ ہے کہ میں شاہ کا نوکر بھی نہیں تھا

ہلال فرید

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha

Hilal Fareed

rukne ke liye dast-e-sitam-gar bhi nahin tha
afsos kisi hath mein patthar bhi nahin tha

bahar jo nahin tha to koi baat nahin thi
ehsas-e-nadamt magar andar bhi nahin tha

jannat na mujhe di to main dozaKH bhi na lunga
momin jo nahin tha to main kafir bhi nahin tha

lauTa jo watan ko to wo raste hi nahin the
jo ghar tha wahan wo to mera ghar bhi nahin tha

anjam to zahir tha safen TuT chuki thin
salar-e-muazzaz sar-e-lashkar bhi nahin tha

afsos qabile pe khula ghair ke hathon
sardar ke pahlu mein to KHanjar bhi nahin tha

jo baat kahi thi wo bahut saf kahi thi
dil mein jo nahin tha wo zaban par bhi nahin tha

ye sach hai qasida na 'hilal' ek bhi likkha
ye sach hai ki main shah ka naukar bhi nahin tha

(966) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha written by Hilal Fareed at UrduPoint. Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha is one of the masterpieces written by Hilal Fareed. You can also find the complete poetry collection of Hilal Fareed by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hilal Fareed' above.

Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha is a widely read Urdu Ghazal. If you like Rukne Ke Liye Dast-e-sitam-gar Bhi Nahin Tha, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.