Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log, Urdu Ghazal By Hurmatul Ikaram

Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Hurmatul Ikaram. Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

دل آزردہ کو بہلائے ہوئے ہیں ہم لوگ

حرمت الااکرام

دل آزردہ کو بہلائے ہوئے ہیں ہم لوگ

کتنے خوابوں کی قسم کھائے ہوئے ہیں ہم لوگ

ایک عالم کے حریف ایک زمانے کے نقیب

جیسے تاریخ کے دہرائے ہوئے ہیں ہم لوگ

ایک مدت ہوئی ہم ڈھونڈھ رہے ہیں خود کو

اپنی آواز کے بھٹکائے ہوئے ہیں ہم لوگ

جس کے شعلوں سے نمو پائیں گے کچھ پھول نئے

آگ سینے میں وہ دہکائے ہوئے ہیں ہم لوگ

جن سے بیدار ہوا لذت آزار کا ذوق

چوٹیں ایسی بھی کئی کھائے ہوئے ہیں ہم لوگ

ایک گتھی جو سلجھ کر بھی نہ سلجھی زنہار

اس کو سلجھا کے بھی الجھائے ہوئے ہیں ہم لوگ

ہوش میں رہ کے بھی لازم ہے کہ مدہوش رہیں

راز آنکھوں کا تری پائے ہوئے ہیں ہم لوگ

گردش وقت کوئی اور ٹھکانا بتلا

محفل دوست سے اکتائے ہوئے ہیں ہم لوگ

آنچ آئی نہ کڑی دھوپ میں لیکن حرمتؔ

چاندنی راتوں کے سنو لائے ہوئے ہیں ہم لوگ

حرمت الااکرام

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log

Hurmatul Ikaram

dil-e-azurda ko bahlae hue hain hum log
kitne KHwabon ki qasam khae hue hain hum log

ek aalam ke harif ek zamane ke naqib
jaise tariKH ke dohrae hue hain hum log

ek muddat hui hum DhunDh rahe hain KHud ko
apni aawaz ke bhaTkae hue hain hum log

jis ke shoalon se numu paenge kuchh phul nae
aag sine mein wo dahkae hue hain hum log

jin se bedar hua lazzat-e-azar ka zauq
choTen aisi bhi kai khae hue hain hum log

ek gutthi jo sulajh kar bhi na suljhi zinhaar
us ko suljha ke bhi uljhae hue hain hum log

hosh mein rah ke bhi lazim hai ki madhosh rahen
raaz aankhon ka teri pae hue hain hum log

gardish-e-waqt koi aur Thikana batla
mahfil-e-dost se uktae hue hain hum log

aanch aai na kaDi dhup mein lekin 'hurmat'
chandni raaton ke suno lae hue hain hum log

(728) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log written by Hurmatul Ikaram at UrduPoint. Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log is one of the masterpieces written by Hurmatul Ikaram. You can also find the complete poetry collection of Hurmatul Ikaram by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Hurmatul Ikaram' above.

Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dil-e-azurda Ko Bahlae Hue Hain Hum Log, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.