Tasawwur, Urdu Nazam By Iftikhar Aazmi

Tasawwur is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Iftikhar Aazmi. Tasawwur comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Tasawwur on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تصور

افتخار اعظمی

اس شہر میں شام ہوتے ہی گلیوں کے نکڑ پر

سڑکوں کے کنارے زندہ دل لوگ

آنکھوں کے کٹورے لیے کھڑے ہو جاتے ہیں

اور شاخ گل کی طرح لچکتی مہکتی لڑکیاں

حسن کی خیرات بانٹتی پھرتی ہیں

خوبصورت تنو مند بچے

پھولوں کی طرح مسکراتے

ایک ہاتھ میں کھلونے

ایک ہاتھ میں ماں کی انگلی پکڑے ہنستے کھیلتے گزرتے ہیں

مے کدوں میں رند جام پر جام لنڈھاتے ہیں

گھروں میں پکنے والے کھانوں کی خوشبو

اشتہا کو تیز کرتی ہے

کتنا خوبصورت کتنا جان دار ہے وہ شہر جسے میری بند آنکھوں کے علاوہ

کسی اور نے نہیں دیکھا

افتخار اعظمی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Tasawwur

Iftikhar Aazmi

is shahr mein sham hote hi galiyon ke nukkaD par
saDkon ke kinare zinda-dil log
aankhon ke kaTore liye khaDe ho jate hain
aur shaKH-e-gul ki tarah lachakti mahakti laDkiyan
husn ki KHairaat banTti phirti hain
KHub-surat tanau-mand bachche
phulon ki tarah muskuraate
ek hath mein khilaune
ek hath mein man ki ungli pakDe hanste-khelte guzarte hain
mai-kadon mein rind jam par jam lunDhate hain
gharon mein pakne wale khanon ki KHushbu
ishtiha ko tez karti hai
kitna KHub-surat kitna jaan-dar hai wo shahr jise meri band aankhon ke alawa
kisi aur ne nahin dekha

(610) ووٹ وصول ہوئے

You can read Tasawwur written by Iftikhar Aazmi at UrduPoint. Tasawwur is one of the masterpieces written by Iftikhar Aazmi. You can also find the complete poetry collection of Iftikhar Aazmi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iftikhar Aazmi' above.

Tasawwur is a widely read Urdu Nazam. If you like Tasawwur, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.