Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai, Urdu Ghazal By Imdad Imam Asar

Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Imdad Imam Asar. Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جفائیں ہوتی ہیں گھٹتا ہے دم ایسا بھی ہوتا ہے

امداد امام اثر

جفائیں ہوتی ہیں گھٹتا ہے دم ایسا بھی ہوتا ہے

مگر ہم پر جو ہے تیرا ستم ایسا بھی ہوتا ہے

عدو کے آتے ہی رونق سدھاری تیری محفل کی

معاذ اللہ انساں کا قدم ایسا بھی ہوتا ہے

رکاوٹ ہے خلش ہے چھیڑ ہے ایذا پہ ایذا ہے

ستم اہل وفا پر دم بدم ایسا بھی ہوتا ہے

حسینوں کی جفائیں بھی تلون سے نہیں خالی

ستم کے بعد کرتے ہیں کرم ایسا بھی ہوتا ہے

دل مہجور آخر انتہا ہے ہر نحوست کی

کبھی سعدین ہوتے ہیں بہم ایسا بھی ہوتا ہے

نہ کر شکوہ ہماری بے سبب کی بد گمانی کا

محبت میں ترے سر کی قسم ایسا بھی ہوتا ہے

نہ ہو درد جدائی سے جو واقف اس کو کیا کہیے

ہمیں وہ دیکھ کر کہتے ہیں غم ایسا بھی ہوتا ہے

بتوں کے ملنے جلنے پر نہ جانا اے دل ناداں

بڑھا کر ربط کر دیتے ہیں کم ایسا بھی ہوتا ہے

ہمیں بزم عدو میں وہ بلاتے ہیں تمنا سے

کرم ایسا بھی ہوتا ہے ستم ایسا بھی ہوتا ہے

جگہ دی مجھ کو کعبے میں خدائے پاک نے زاہد

تو کہتا تھا کہ مقبول حرم ایسا بھی ہوتا ہے

ہوا کرتا ہے سب کچھ اے اثرؔ اس کی خدائی میں

کریں دعویٰ خدائی کا صنم ایسا بھی ہوتا ہے

امداد امام اثر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai

Imdad Imam Asar

jafaen hoti hain ghuTta hai dam aisa bhi hota hai
magar hum par jo hai tera sitam aisa bhi hota hai

adu ke aate hi raunaq sidhaari teri mahfil ki
maaz-allah insan ka qadam aisa bhi hota hai

rukawaT hai KHalish hai chheD hai iza pe iza hai
sitam ahl-e-wafa par dam-ba-dam aisa bhi hota hai

hasinon ki jafaen bhi talawwun se nahin KHali
sitam ke baad karte hain karam aisa bhi hota hai

dil-e-mahjur aaKHir intiha hai har nahusat ki
kabhi saden hote hain baham aisa bhi hota hai

na kar shikwa hamari be-sabab ki bad-gumani ka
mohabbat mein tere sar ki qasam aisa bhi hota hai

na ho dard-e-judai se jo waqif us ko kya kahiye
hamein wo dekh kar kahte hain gham aisa bhi hota hai

buton ke milne-julne par na jaana ai dil-e-nadan
baDha kar rabt kar dete hain kam aisa bhi hota hai

hamein bazm-e-adu mein wo bulate hain tamanna se
karam aisa bhi hota hai sitam aisa bhi hota hai

jagah di mujh ko kabe mein KHuda-e-pak ne zahid
tu kahta tha ki maqbul-e-haram aisa bhi hota hai

hua karta hai sab kuchh ai 'asar' us ki KHudai mein
karen dawa KHudai ka sanam aisa bhi hota hai

(589) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai written by Imdad Imam Asar at UrduPoint. Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai is one of the masterpieces written by Imdad Imam Asar. You can also find the complete poetry collection of Imdad Imam Asar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Imdad Imam Asar' above.

Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jafaen Hoti Hain GhuTta Hai Dam Aisa Bhi Hota Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.