Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya, Urdu Ghazal By Iqbal Haider

Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Iqbal Haider. Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کھوئے گئے تو آئنہ کو معتبر کیا

اقبال حیدر

کھوئے گئے تو آئنہ کو معتبر کیا

ہم نے تری تلاش میں اپنا سفر کیا

بے گھر مسافروں کے مقدر میں خاک ہے

سو ہم نے گرد راہ کو دیوار و در کیا

اس مرکز جمال کے ہم بھی اسیر ہیں

جس مرکز جمال نے ہر دل میں گھر کیا

شہر وفا خموش ہے پتھر بنے بغیر

کیسا فریب کوہ ندا نے اثر کیا

بازو سمیٹتے ہیں درختوں پہ کچھ طیور

شاید کسی نے تذکرۂ بال و پر کیا

یادوں کی بھیڑ میں بھی ہے تنہائی ہم سفر

اس کی ہو خیر جس نے ہمیں در بدر کیا

اقبال حیدر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya

Iqbal Haider

khoe gae to aaine ko mo'atabar kiya
hum ne teri talash mein apna safar kiya

be-ghar musafiron ke muqaddar mein KHak hai
so hum ne gard-e-rah ko diwar-o-dar kiya

us markaz-e-jamal ke hum bhi asir hain
jis markaz-e-jamal ne har dil mein ghar kiya

shahr-e-wafa KHamosh hai patthar bane baghair
kaisa fareb-e-koh-e-nida ne asar kiya

bazu sameTte hain daraKHton pe kuchh tuyur
shayad kisi ne tazkira-e-baal-o-par kiya

yaadon ki bhiD mein bhi hai tanhai ham-safar
us ki ho KHair jis ne hamein dar-ba-dar kiya

(518) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya written by Iqbal Haider at UrduPoint. Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya is one of the masterpieces written by Iqbal Haider. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Haider by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Haider' above.

Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Khoe Gae To Aaine Ko Moatabar Kiya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.