Muzahimaton Ke Ahd-nigar, Urdu Nazam By Iqbal Kausar

Muzahimaton Ke Ahd-nigar is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Iqbal Kausar. Muzahimaton Ke Ahd-nigar comes under the Love, Sad, Heart Broken category of Urdu Nazam. You can read Muzahimaton Ke Ahd-nigar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

مزاحمتوں کے عہد‌ نگار

اقبال کوثر

ان سے کہنا کہ وہ

اپنی اس جنگ میں

اب اکیلے نہیں

آج کی جنگ سب کی ہے

اور سارے وقتوں کی ہے

اپنے اپنے محاذوں کی دہلیز پر

ہم بھی مورچہ بند اور صف بہ صف ان کے ہم دوش ہیں

ہم کہ خاموش ہیں

ہم کہ خاموش ہیں کیتلی کا تلاطم نہیں

چیخنے کے ہنر شناسا نہیں

بے محل حلق بازوں

اندھیرے کے عف عف زنوں کی طرح

ان سے کہنا

کہ ہم لمحے لمحے کے ہمرا دھڑکتے ہوئے

اپنے ہونے کی ہر شکل پر

خود گواہی بنے

آج کی جنگ میں

ان کے ہم دوش ہیں

اور سر سینہ و دوش تانبا نا لوہا مگر ہم نہتے نہیں

امن بھی ہیں محبت بھی ہم

رزم بھی درس عبرت بھی ہم

صدق کے زور سے

فکر کی کاٹ اور درد کی دھار سے لیس شمشیر خامہ سپر لوح ہم

ان سے کہنا

کہ جو آج کی جنگ وہ لڑ رہے ہیں

وہ سب کی ہے اور سارے وقتوں کی

اور ان کی طرح

ہم بھی اس جنگ میں

اپنے اپنے محاذوں پہ پرچم کشا

ان کے ہم دوش ہیں

اپنے آدرش کی چوکیوں کے نگہ دار غافل نہیں

گرچہ خاموش ہیں

اقبال کوثر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Muzahimaton Ke Ahd-nigar

Iqbal Kausar

un se kahna ki wo
apni is jang mein
ab akele nahin
aaj ki jang sab ki hai
aur sare waqton ki hai
apne apne mahazon ki dahliz par
hum bhi morcha-band aur saf-ba-saf un ke ham-dosh hain
hum ki KHamosh hain
hum ki KHamosh hain ketli ka talatum nahin
chiKHne ke hunar-shanasa nahin
be-mahal halq-bazon
andhere ke af-af-zanon ki tarah
un se kahna
ki hum lamhe lamhe ke hamra dhaDakte hue
apne hone ki har shakl par
KHud gawahi bane
aaj ki jang mein
un ke ham-dosh hain
aur sar-e-sina-o-dosh tanba na loha magar hum nihatte nahin
amn bhi hain mohabbat bhi hum
razm bhi dars-e-ibrat bhi hum
sidq ke zor se
fikr ki kaT aur dard ki dhaar se lais shamshir-e-KHama siper-e-lauh hum
un se kahna
ki jo aaj ki jang wo laD rahe hain
wo sab ki hai aur sare waqton ki
aur un ki tarah
hum bhi is jang mein
apne apne mahazon pe parcham-kusha
in ke ham-dosh hain
apne aadarsh ki chaukiyon ke nigah-dar ghafil nahin
garche KHamosh hain

(1859) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Muzahimaton Ke Ahd-nigar written by Iqbal Kausar at UrduPoint. Muzahimaton Ke Ahd-nigar is one of the masterpieces written by Iqbal Kausar. You can also find the complete poetry collection of Iqbal Kausar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Iqbal Kausar' above.

Muzahimaton Ke Ahd-nigar is a widely read Urdu Nazam. If you like Muzahimaton Ke Ahd-nigar, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.