ChiDiya Ke Bachche, Urdu Nazam By Ismail Merathi

ChiDiya Ke Bachche is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ismail Merathi. ChiDiya Ke Bachche comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read ChiDiya Ke Bachche on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چڑیا کے بچے

اسماعیل میرٹھی

دو تین چھوٹے بچے چڑیا کے گھونسلے میں

چپ چاپ لگ رہے ہیں سینے سے اپنی ماں کے

چڑیا نے مامتا سے پھیلا کے دونوں بازو

اپنے پروں کے اندر بچوں کو ڈھک لیا ہے

اس طرح روزمرہ کرتی ہے ماں حفاظت

سردی سے اور ہوا سے رکھتی ہے گرم ان کو

لیکن چڑا گیا ہے چگا تلاش کرنے

دانہ کہیں کہیں سے پوٹے میں اپنے بھر کر

جب لائے گا تو بچے منہ کھول دیں گے جھٹ پٹ

ان کو بھرائے گا وہ ماں اور باپ دونوں

بچوں کی پرورش میں مصروف ہیں برابر

اور چھوٹے بچے خوش ہیں تکلیف کچھ نہیں ہے

اے چھوٹے چھوٹے بچو تم اونچے گھونسلے سے

ہرگز نہیں گروگے پر اور پرزے اب تک

نکلے نہیں تمہارے، اس واسطے ابھی تم

اونچے نہ اڑ سکو گے، ہاں جب تمہارے بازو

اور پر درست ہوں گے تو دن کی روشنی میں

سیکھو گے تم بھی اڑنا کرتے پھرو گے چیں چیں

اڑتے پھرو گے پھر پھر اے چھوٹے بچو لیکن

کوا بری بلا ہے اس سے خدا بچائے

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ChiDiya Ke Bachche

Ismail Merathi

do tin chhoTe bachche chiDiya ke ghonsle mein
chup-chap lag rahe hain sine se apni man ke
chiDiya ne mamta se phaila ke donon bazu
apne paron ke andar bachchon ko Dhak liya hai
is tarah roz-marra karti hai man hifazat
sardi se aur hawa se rakhti hai garm un ko
lekin chiDa gaya hai chugga talash karne
dana kahin kahin se puTe mein apne bhar kar
jab laega to bachche munh khol denge jhaT-paT
un ko bharaega wo man aur bap donon
bachchon ki parwarish mein masruf hain barabar
aur chhoTe bachche KHush hain taklif kuchh nahin hai
ai chhoTe chhoTe bachcho tum unche ghonsle se
hargiz nahin giroge par aur purze ab tak
nikle nahin tumhaare, is waste abhi tum
unche na uD sakoge, han jab tumhaare bazu
aur par durust honge to din ki raushni mein
sikhoge tum bhi uDna karte phiroge chen-chen
uDte phiroge phur-phur ai chhoTe bachcho lekin
kawwa buri bala hai us se KHuda bachae

(654) ووٹ وصول ہوئے

You can read ChiDiya Ke Bachche written by Ismail Merathi at UrduPoint. ChiDiya Ke Bachche is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

ChiDiya Ke Bachche is a widely read Urdu Nazam. If you like ChiDiya Ke Bachche, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.