ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija, Urdu Nazam By Ismail Merathi

ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ismail Merathi. ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

چھوٹے کام کا بڑا نتیجہ

اسماعیل میرٹھی

ایک بچہ کہ ابھی کچھ اسے تمییز نہ تھی

لہو و بازی سے پسندیدہ کوئی چیز نہ تھی

کھیلنا کودنا کھانا یہی معمول تھا بس

انہیں طفلانہ تمناؤں میں مشغول تھا بس

ایک تالاب تھا دو چار قدم گھر سے پرے

دل میں لہر آئی لب آب ذرا سیر کرے

صاف پانی سے جو تالاب کو پایا لبریز

کھیل کا شوق طبیعت میں ہوا اور بھی تیز

آس پاس اپنے جو پایا کوئی کنکر پتھر

پھینک مارا اسے پانی میں بہت خوش ہو کر

کھیل تھا پہلے تو اب طرفہ تماشا دیکھا

دل ہی دل میں متحیر تھا کہ یہ کیا دیکھا

دائرہ ایک بنا ایسا کہ بڑھتا ہے محیط

گھیر لی جس نے کہ تالاب کی سب سطح بسیط

پھر تو کھیل اس کا اسی شغل پہ موقوف رہا

اسی نظارے میں تا دیر وہ مصروف رہا

اسی اثنا میں ہوا بچے کی ماں کا بھی گزر

بولا اماں مجھے آئی ہے عجب چیز نظر

جو نہ دیکھی نہ سنی تھی کبھی اب سے پہلے

شاید آئی ہے نظر مجھ کو ہی سب سے پہلے

اک ذرا سی حرکت اور یہ تاثیر عجیب

دائرہ بڑھ کے پہنچتا ہے کنارے کے قریب

بسکہ جی جان سے اس شعبدے پر تھا شیدا

وسعت دائرہ کی اپنی عمل سے پیدا

تھی وہ ماں اہل دل اور نیک منش نیک نہاد

ہنس کے فرمایا مری جاں یہ نصیحت رکھ یاد

یوں ہی ہر کام کا ہو جاتا ہے انجام بڑا

گو کہ آغاز میں ہوتا نہیں وہ کام بڑا

کبھی ادنیٰ حرکت زلزلہ بن جاتی ہے

کبھی ناچیز سی اک بات غضب ڈھاتی ہے

یہی انداز نکوکاری و بد کاری ہے

اولاً خاص تھی اب عام میں وہ جاری ہے

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija

Ismail Merathi

ek bachcha ki abhi kuchh use tamiz na thi
lahw-bazi se pasandida koi chiz na thi
khelna kudna khana yahi mamul tha bas
inhin tiflana tamannaon mein mashghul tha bas
ek talab tha do-chaar qadam ghar se pare
dil mein lahr aai lab-e-ab zara sair kare
saf pani se jo talab ko paya labrez
khel ka shauq tabiat mein hua aur bhi tez
aas-pas apne jo paya koi kankar patthar
phenk mara use pani mein bahut KHush ho kar
khel tha pahle to ab turfa-tamasha dekha
dil hi dil mein mutahayyar tha ki ye kya dekha
daera ek bana aisa ki baDhta hai muhit
gher li jis ne ki talab ki sab sath-e-basit
phir to khel us ka isi shaghl pe mauquf raha
isi nazzare mein ta-der wo masruf raha
isi asna mein hua bachche ki man ka bhi guzar
bola amman mujhe aai hai ajab chiz nazar
jo na dekhi na suni thi kabhi ab se pahle
shayad aai hai nazar mujh ko hi sab se pahle
ek zara si harakat aur ye tasir ajib
daera baDh ke pahunchta hai kinare ke qarib
bas-ki ji jaan se is shobade par tha shaida
wusat-e-daera ki apni amal se paida
thi wo man ahl-e-dil aur nek-manush nek-nihad
hans ke farmaya meri jaan ye nasihat rakh yaad
yunhi har kaam ka ho jata hai anjam baDa
go ki aaghaz mein hota nahin wo kaam baDa
kabhi adna harakat zalzala ban jati hai
kabhi nachiz si ek baat ghazab Dhati hai
yahi andaz-e-nikokari o bad-kari hai
awwalan KHas thi ab aam mein wo jari hai

(636) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija written by Ismail Merathi at UrduPoint. ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija is a widely read Urdu Nazam. If you like ChhoTe Kaam Ka BaDa Natija, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.