Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain, Urdu Ghazal By Ismail Merathi

Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ismail Merathi. Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain comes under the Social, Sufi category of Urdu Ghazal. You can read Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

اتنا تو جانتے ہیں کہ بندے خدا کے ہیں

اسماعیل میرٹھی

اتنا تو جانتے ہیں کہ بندے خدا کے ہیں

آگے حواس گم خرد نارسا کے ہیں

ممنون برگ گل ہیں نہ شرمندۂ صبا

ہم بلبل اور ہی چمن دل کشا کے ہیں

کیا کوہ کن کی کوہ کنی کیا جنون قیس

وادیٔ عشق میں یہ مقام ابتدا کے ہیں

بنیان عمر سست ہے اور منعمان دہر

مغرور اپنے کو شک عالی بنا کے ہیں

اپنے وجود کا ابھی عقدہ کھلا نہیں

مصروف حل و عقد میں ارض و سما کے ہیں

شیخ اور برہمن میں اگر لاگ ہے تو ہو

دونوں شکار غمزہ اسی دل ربا کے ہیں

جن کو عنایت ازلی سے ہے چشم داشت

وہ معتقد دعا کے نہ قائل دوا کے ہیں

لایا نہیں ہنوز نوید‌ وصال دوست

ہم شکوہ سنج سستی‌‌ پیک سبا کے ہیں

سمجھو اگر تو ہیں وہی سب سے حریص تر

طالب خدا سے جو دل بے مدعا کے ہیں

ان بد‌ دلوں نے عشق کو بد نام کر دیا

جو مرتکب شکایت‌ جور و جفا کے ہیں

ہمت ہمائے اوج سعادت ہے مرد کو

الو ہیں وہ جو شیفتہ ظل ہما کے ہیں

ہے اشک و آہ راس ہمارے مزاج کو

یعنی پلے ہوئے اسی آب و ہوا کے ہیں

جو باندھتے ہیں طرۂ طرار کا خیال

ناداں امیدوار نزول بلا کے ہیں

کھٹکا بھی کچھ ہوا نہیں اور دل اڑا لیا

یہ سارے ہتکھنڈے تری زلف دوتا کے ہیں

صید کرشمہ اس لئے ہوتے نہیں کہ ہم

پہلے سے زخم خوردہ فریب وفا کے ہیں

مارا بھی اور مار کے زندہ بھی کر دیا

یہ شعبدے تو شوخیٔ ناز و ادا کے ہیں

خلوت میں بھی روا نہیں گستاخیٔ نگاہ

پردے پڑے ہوئے ابھی شرم و حیا کے ہیں

یوں کہہ رہی ہے نرگس بیمار کی ادا

نسخے تو مجھ کو یاد ہزاروں شفا کے ہیں

اب تک ہے سجدہ گاہ عزیزان روزگار

جس خاک پر نشان ترے کفش پا کے ہیں

اندیشہ ہے کہ دے نہ ادھر کی ادھر لگا

مجھ کو تو نا پسند وتیرے صبا کے ہیں

سیر ورود قافلۂ نو بہار دیکھ

برپا خیام اوج ہوا میں گھٹا کے ہیں

جاتا ہے خاک‌ پاک دکن کو یہ ریختہ

واں قدردان اس گہر بے بہا کے ہیں

احباب کا کرم ہے اگر نکتہ چیں نہ ہوں

ورنہ ہم آپ معترف اپنی خطا کے ہیں

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain

Ismail Merathi

itna to jaante hain ki bande KHuda ke hain
aage hawas gum KHirad-e-na-rasa ke hain

mamnun-e-barg-e-gul hain na sharminda-e-saba
hum bulbul aur hi chaman-e-dil-kusha ke hain

kya kohkan ki koh-kani kya junun-e-qais
wadi-e-ishq mein ye maqam ibtida ke hain

bunyan-e-umr sust hai aur muniman-e-dahr
maghrur apne ko shak-e-ali bina ke hain

apne wajud ka abhi uqda khula nahin
masruf hill-o-aqd main arz-o-sama ke hain

shaiKH aur barhaman mein agar lag hai to ho
donon shikar-e-ghamza usi dil-ruba ke hain

jin ko inayat-e-azali se hai chashm-dasht
wo mo'taqid dua ke na qael dawa ke hain

laya nahin hunuz nawed-e-visal-e-dost
hum shikwa-sanj susti-e-paik-e-saba ke hain

samjho agar to hain wahi sab se haris-tar
talib KHuda se jo dil-e-be-muddaa ke hain

un bad-dilon ne ishq ko bad-nam kar diya
jo murtakib shikayat-e-jaur-o-jafa ke hain

himmat huma-e-auj-e-saadat hai mard ko
ullu hain wo jo shefta zill-e-huma ke hain

hai ashk-o-ah ras hamare mizaj ko
yani pale hue isi aab-o-hawa ke hain

jo bandhte hain turra-e-tarrar ka KHayal
nadan umid-war nuzul-e-bala ke hain

khaTka bhi kuchh hua nahin aur dil uDa liya
ye sare hathkanDe teri zulf-e-dota ke hain

said-e-karishma is liye hote nahin ki hum
pahle se zaKHm-KHurda fareb-e-wafa ke hain

mara bhi aur mar ke zinda bhi kar diya
ye shoabde to shoKHi-e-naz-o-ada ke hain

KHalwat mein bhi rawa nahin gustaKHi-e-nigah
parde paDe hue abhi sharm-o-haya ke hain

yun kah rahi hai nargis-e-bimar ki ada
nusKHe to mujh ko yaad hazaron shifa ke hain

ab tak hai sajda-gah-e-azizan-e-rozgar
jis KHak par nishan tere kafsh-e-pa ke hain

andesha hai ki de na idhar ki udhar laga
mujh ko to na-pasand watire saba ke hain

sair-e-warud-e-qafila-e-nau-bahaar dekh
barpa KHiyam auj-e-hawa mein ghaTa ke hain

jata hai KHak-e-pak-e-deccan ko ye reKHta
wan qadr-dan is guhar-e-be-baha ke hain

ahbab ka karam hai agar nukta-chin na hon
warna hum aap mo'tarif apni KHata ke hain

(687) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain written by Ismail Merathi at UrduPoint. Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain is a widely read Urdu Ghazal. If you like Itna To Jaante Hain Ki Bande KHuda Ke Hain, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Social Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.