Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai, Urdu Ghazal By Ismail Merathi

Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ismail Merathi. Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

کوئی دن کا آب و دانہ اور ہے

اسماعیل میرٹھی

کوئی دن کا آب و دانہ اور ہے

پھر چمن اور آشیانہ اور ہے

ہاں دل بے تاب چندے انتظار

امن و راحت کا ٹھکانہ اور ہے

شمع پھیکی رات کم محفل اداس

اب مغنی کا ترانہ اور ہے

اے جوانی تو کہانی ہو گئی

ہم نہیں وہ یا زمانہ اور ہے

جس کو جان زندگانی کہہ سکیں

وہ حیات جاودانہ اور ہے

جس کو سن کر زہرۂ سنگ آب ہو

آہ وہ غمگیں فسانہ اور ہے

وا اگر سمع رضا ہو تو کہوں

ایک پند مشفقانہ اور ہے

اتفاقی ہے یہاں کا ارتباط

سب ہیں بیگانے یگانہ اور ہے

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai

Ismail Merathi

koi din ka aab-o-dana aur hai
phir chaman aur aashiyana aur hai

han dil-e-be-tab chande intizar
amn-o-rahat ka Thikana aur hai

shama phiki raat kam mahfil udas
ab mughanni ka tarana aur hai

ai jawani tu kahani ho gai
hum nahin wo ya zamana aur hai

jis ko jaan-e-zindagani kah saken
wo hayat-e-jawedana aur hai

jis ko sun kar zohra-e-sang aab ho
aah wo ghamgin fasana aur hai

wa agar sama-e-raza ho to kahun
ek pand-e-mushfiqana aur hai

ittifaqi hai yahan ka irtibaat
sab hain begane yagana aur hai

(561) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai written by Ismail Merathi at UrduPoint. Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Koi Din Ka Aab-o-dana Aur Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.