Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein, Urdu Ghazal By Ismail Merathi

Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Ismail Merathi. Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

وہ پیرہن جان میں جاں حجلۂ تن میں

اسماعیل میرٹھی

وہ پیرہن جان میں جاں حجلۂ تن میں

ہوں وہم جدائی سے عجب رنج و محن میں

مقصود زیارت ہے اگر کعبۂ دل کی

ہو گرم سفر ناحیۂ ملک وطن میں

وہ قامت دل کش ہے عجب فتنۂ عالم

چھپتا ہی نہیں پیرہن نود کہن میں

اے شمع بہا اشک چھپا راز محبت

خاکستر پروانہ ہے بیتاب لگن میں

شورش مری بے جا ہے نہ فریاد نکمی

رونق ہے ذرا نالۂ بلبل سے چمن میں

تاثیر ہو کیا خاک جو باتوں میں گھڑت ہو

کچھ بات نکلتی ہے تو بے ساختہ پن میں

کم تر ہے دو و دام سے انساں بہ مراتب

ہر دم جو ترقی نہ کرے چال چلن میں

ہوں میں تو وہی معتکف گوشۂ عزلت

حالانکہ مرا ریختہ پہونچا ہے دکن میں

یہ سچ ہے کہ سودا بھی تھا استاد زمانہ

میری تو مگر میرؔ ہی تھا شعر کے فن میں

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein

Ismail Merathi

wo pairahan-e-jaan mein jaan hajla-e-tan mein
hun wahm-e-judai se ajab ranj-o-mehan mein

maqsud ziyarat hai agar kaba-e-dil ki
ho garm-e-safar nahiya-e-mulk-e-watan mein

wo qamat-e-dilkash hai ajab fitna-e-alam
chhupta hi nahin pairahan-e-naud-kuhan mein

ai shama baha ashk chhupa raaz-e-mohabbat
KHakistar-e-parwana hai betab lagan mein

shorish meri beja hai na fariyaad nikammi
raunaq hai zara nala-e-bulbul se chaman mein

tasir ho kya KHak jo baaton mein ghaDat ho
kuchh baat nikalti hai to be-saKHta-pan mein

kam-tar hai do o dam se insan ba-maraatib
har dam jo taraqqi na kare chaal-chalan mein

hun main to wahi moatakif-e-gosha-e-uzlat
haalanki mera reKHta pahuncha hai deccan mein

ye sach hai ki sauda bhi tha ustad-e-zamana
meri to magar 'mir' hi tha sher ke fan mein

(522) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein written by Ismail Merathi at UrduPoint. Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein is a widely read Urdu Ghazal. If you like Wo Pairahan-e-jaan Mein Jaan Hajla-e-tan Mein, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.