Ek Pauda Aur Ghas, Urdu Nazam By Ismail Merathi

Ek Pauda Aur Ghas is a famous Urdu Nazam written by a famous poet, Ismail Merathi. Ek Pauda Aur Ghas comes under the Love, Sad category of Urdu Nazam. You can read Ek Pauda Aur Ghas on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ایک پودا اور گھاس

اسماعیل میرٹھی

اتفاقاً ایک پودا اور گھاس

باغ میں دونوں کھڑے ہیں پاس پاس

گھاس کہتی ہے کہ اے میرے رفیق

کیا انوکھا اس جہاں کا ہے طریق

ہے ہماری اور تمہاری ایک ذات

ایک قدرت سے ہے دونوں کی حیات

مٹی اور پانی ہوا اور روشنی

واسطے دونوں کے یکساں ہے بنی

تجھ پہ لیکن ہے عنایت کی نظر

پھینک دیتے ہیں مجھے جڑ کھود کر

سر اٹھانے کی مجھے فرصت نہیں

اور ہوا کھانے کی بھی رخصت نہیں

کون دیتا ہے مجھے یاں پھیلنے

کھا لیا گھوڑے گدھے یا بیل نے

تجھ پہ منہ ڈالے جو کوئی جانور

اس کی لی جاتی ہے ڈنڈے سے خبر

اولے پالے سے بچاتے ہیں تجھے

کیا ہی عزت سے بڑھاتے ہیں تجھے

چاہتے ہیں تجھ کو سب کرتے ہیں پیار

کچھ پتا اس کا بتا اے دوست دار

اس سے پودے نے کہا یوں سر ہلا

گھاس سب سچا ہے تیرا یہ گلہ

مجھ میں اور تجھ میں نہیں کچھ بھی تمیز

صرف سایہ اور میوہ ہے عزیز

فائدہ اک روز مجھ سے پائیں گے

سایہ میں بیٹھیں گے اور پھل کھائیں گے

ہے یہاں عزت کا سہرا اس کے سر

جس سے پہنچے نفع سب کو بیشتر

اسماعیل میرٹھی

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Ek Pauda Aur Ghas

Ismail Merathi

ittifaqan ek pauda aur ghas
bagh mein donon khaDe hain pas pas
ghas kahti hai ki ai mere rafiq
kya anokha is jahan ka hai tariq
hai hamari aur tumhaari ek zat
ek qudarat se hai donon ki hayat
miTTi aur pani hawa aur raushni
waste donon ke yaksan hai bani
tujh pe lekin hai inayat ki nazar
phenk dete hain mujhe jaD khod kar
sar uThane ki mujhe fursat nahin
aur hawa khane ki bhi ruKHsat nahin
kaun deta hai mujhe yan phailne
kha liya ghoDe gadhe ya bail ne
tujh pe munh Dale jo koi jaanwar
us ki li jati hai DanDe se KHabar
ole pale se bachate hain tujhe
kya hi izzat se baDhate hain tujhe
chahte hain tujh ko sab karte hain pyar
kuchh pata us ka bata ai dost-dar
us se paude ne kaha yun sar hila
ghas sab sachcha hai tera ye gila
mujh mein aur tujh mein nahin kuchh bhi tamiz
sirf saya aur mewa hai aziz
faeda ek roz mujh se paenge
sae mein baiThenge aur phal khaenge
hai yahan izzat ka sahra us ke sar
jis se pahunche nafa sab ko besh-tar

(859) ووٹ وصول ہوئے

You can read Ek Pauda Aur Ghas written by Ismail Merathi at UrduPoint. Ek Pauda Aur Ghas is one of the masterpieces written by Ismail Merathi. You can also find the complete poetry collection of Ismail Merathi by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Ismail Merathi' above.

Ek Pauda Aur Ghas is a widely read Urdu Nazam. If you like Ek Pauda Aur Ghas, you will also like to read other famous Urdu Nazam.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.