LaDai Ho To Kaghaz Ki Sipar Se Kuchh Nahin Hota, Urdu Ghazal By Israr Kafeel

LaDai Ho To Kaghaz Ki Sipar Se Kuchh Nahin Hota is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Israr Kafeel. LaDai Ho To Kaghaz Ki Sipar Se Kuchh Nahin Hota comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read LaDai Ho To Kaghaz Ki Sipar Se Kuchh Nahin Hota on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

لڑائی ہو تو کاغذ کی سپر سے کچھ نہیں ہوتا

اسرار کفیل

لڑائی ہو تو کاغذ کی سپر سے کچھ نہیں ہوتا

تمہاری یا کسی کی چشم تر سے کچھ نہیں ہوتا

رگوں میں ہے اندھیرا تو یہ روز و شب ہی کافی ہیں

حدیث خیر سے یا حرف شر سے کچھ نہیں ہوتا

کوئی ساعت مقرر ہے کہیں اک مستجابی کی

کف افسوس سے دست ہنر سے کچھ نہیں ہوتا

انہیں ان کے حواری ہم سخن بدنام کرتے ہیں

تری افواہ سے میری خبر سے کچھ نہیں ہوتا

کڑے دن کٹتے کٹتے بھی سروں کی فصل کٹتی ہے

کہ دشت کربلا میں ایک سر سے کچھ نہیں ہوتا

مکان اپنے مکینوں سے حسیں اور خوب صورت ہیں

فقط آرائش دیوار و در سے کچھ نہیں ہوتا

جنوں کو چاہئے اک تیشۂ اعمال کا موسم

یہاں الفاظ کے زیر و زبر سے کچھ نہیں ہوتا

بہت بڑھ جاتی ہے سنجیدگی جب دونوں جانب تو

سوا افسوس کے حاصل سفر سے کچھ نہیں ہوتا

کفیلؔ اک سائباں سر پر رہے ماں کی دعاؤں کا

مرا نقصاں کسی حاسد نظر سے کچھ نہیں ہوتا

اسرار کفیل

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

LaDai Ho To Kaghaz Ki Sipar Se Kuchh Nahin Hota

Israr Kafeel

laDai ho to kaghaz ki sipar se kuchh nahin hota
tumhaari ya kisi ki chashm-e-tar se kuchh nahin hota

ragon mein hai andhera to ye roz-o-shab hi kafi hain
hadis-e-KHair se ya harf-e-shar se kuchh nahin hota

koi saat muqarrar hai kahin ek mustajabi ki
kaf-e-afsos se dast-e-hunar se kuchh nahin hota

unhen un ke hawari ham-suKHan badnam karte hain
teri afwah se meri KHabar se kuchh nahin hota

kaDe din kaTte kaTte bhi saron ki fasl kaTti hai
ki dasht-e-karbala mein ek sar se kuchh nahin hota

makan apne makinon se hasin aur KHubsurat hain
faqat aaraish-e-diwar-o-dar se kuchh nahin hota

junun ko chahiye ek tesha-e-amal ka mausam
yahan alfaz ke zer-o-zabar se kuchh nahin hota

bahut baDh jati hai sanjidgi jab donon jaanib to
siwa afsos ke hasil safar se kuchh nahin hota

'kafil' ek saeban sar par rahe man ki duaon ka
mera nuqsan kisi hasid nazar se kuchh nahin hota

(389) ووٹ وصول ہوئے

You can read LaDai Ho To Kaghaz Ki Sipar Se Kuchh Nahin Hota written by Israr Kafeel at UrduPoint. LaDai Ho To Kaghaz Ki Sipar Se Kuchh Nahin Hota is one of the masterpieces written by Israr Kafeel. You can also find the complete poetry collection of Israr Kafeel by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Israr Kafeel' above.

LaDai Ho To Kaghaz Ki Sipar Se Kuchh Nahin Hota is a widely read Urdu Ghazal. If you like LaDai Ho To Kaghaz Ki Sipar Se Kuchh Nahin Hota, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.