Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par, Urdu Ghazal By Jafar Abbas

Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jafar Abbas. Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ابھی تو محو تجلی ہیں سب دکانوں پر

جعفر عباس

ابھی تو محو تجلی ہیں سب دکانوں پر

پلٹ کے دیکھیے آتے ہیں کب مکانوں پر

خیال خام میں گزری ہے زندگی ساری

حقیقتوں کا گماں ہے ابھی فسانوں پر

قدم قدم پہ تضادوں سے سابقہ ہے جہاں

یقین کیسے کرے کوئی ان گمانوں پر

وہ جس کی چاہ میں مر مر کے جی رہے ہیں یہاں

نہ جانے کون سی بستی ہے آسمانوں پر

جہاں بھی تیر لگا بس وہی ہدف ٹھہرا

ہے پھر بھی زعم بہت ان کو ان کمانوں پر

میں ان کی بات کو کس طور معتبر جانوں

مدار زیست ہی جن کا ہے کچھ بہانوں پر

کڑی ہے دھوپ جھلستی ہیں اب دلیلیں سبھی

یقیں ہے پھر بھی انہیں کتنا سائبانوں پر

نظر میں ذہن میں دل میں کشادگی لاؤ

ہوا کے رخ کا تقاضا ہے بادبانوں پر

نہ جانے کتنی ہی صدیاں لگیں گی اور ابھی

دلوں کی بات جب آ پائے گی زبانوں پر

عجیب ان کو سلیقہ ہے کھل کے جینے کا

نئی ہے کون سی تہمت یہ ہم دوانوں پر

ہماری ذات سے آباد کچھ خرابے ہیں

ہے اپنے دم سے اجالا کئی مقاموں پر

خرد نواز جنوں اور جنوں نواز خرد

ہیں اب بھی نور طریقے یہ کچھ ٹھکانوں پر

اسے جگاؤ ڈسے تم کو مار ڈالے تمہیں

تمہاری ذات میں بیٹھا ہے جو خزانوں پر

جعفر عباس

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par

Jafar Abbas

abhi to mahw-e-tajalli hain sab dukanon par
palaT ke dekhiye aate hain kab makanon par

KHayal-e-KHam mein guzri hai zindagi sari
haqiqaton ka guman hai abhi fasanon par

qadam qadam pe tazadon se sabiqa hai jahan
yaqin kaise kare koi in gumanon par

wo jis ki chah mein mar mar ke ji rahe hain yahan
na jaane kaun si basti hai aasmanon par

jahan bhi tir laga bas wahi hadaf Thahra
hai phir bhi zoam bahut un ko in kamanon par

main un ki baat ko kis taur mo'atabar jaanun
madar-e-zist hi jin ka hai kuchh bahanon par

kaDi hai dhup jhulasti hain ab dalilen sabhi
yaqin hai phir bhi unhen kitna saebanon par

nazar mein zehn mein dil mein kushadgi lao
hawa ke ruKH ka taqaza hai baadbanon par

na jaane kitni hi sadiyan lagengi aur abhi
dilon ki baat jab aa paegi zabanon par

ajib un ko saliqa hai khul ke jine ka
nai hai kaun si tohmat ye hum diwanon par

hamari zat se aabaad kuchh KHarabe hain
hai apne dam se ujala kai maqamon par

KHirad-nawaz junun aur junun-nawaz KHirad
hain ab bhi nur tariqe ye kuchh Thikanon par

use jagao Dase tum ko mar Dale tumhein
tumhaari zat mein baiTha hai jo KHazanon par

(383) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par written by Jafar Abbas at UrduPoint. Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par is one of the masterpieces written by Jafar Abbas. You can also find the complete poetry collection of Jafar Abbas by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jafar Abbas' above.

Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par is a widely read Urdu Ghazal. If you like Abhi To Mahw-e-tajalli Hain Sab Dukanon Par, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.