Jo Faqat Rahte Hon Din Ko Be-qarar, Urdu Ghazal By Jagdeesh Raj Figar

Jo Faqat Rahte Hon Din Ko Be-qarar is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jagdeesh Raj Figar. Jo Faqat Rahte Hon Din Ko Be-qarar comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Jo Faqat Rahte Hon Din Ko Be-qarar on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

جو فقط رہتے ہوں دن کو بے قرار

جگدیش راج فگار

جو فقط رہتے ہوں دن کو بے قرار

مہوشوں میں کیجئے ان کا شمار

جس پہ سہواً ہو گیا میرا نزول

ذات اس کی ہو گئی بس آب دار

وہ مری سانسوں کے رستے ہو لیا

جو اٹھا دل سے کبھی گرد و غبار

خالق کونین سے کیا واسطہ

جب مرا کردار ٹھہرا کردگار

دن کو ہوں میں گرم شب کو سرد ہوں

میری ہستی کیا نہیں ہے ریگ زار

کشمکش جاری ہے جو افلاک میں

دیکھیے حاصل ہو کس کو اقتدار

اور بھی تو ہیں یہاں کتنے مقیم

پاؤں دھرتی پر نہ تو اتنے پسار

موت سے کہہ دو نہ اس میں دخل دے

زیست سے ہے ربط میرا استوار

موت کا پہلے ہی پرتو دیکھ لوں

دل کے درپن پر ہے اس کا انحصار

ایک سوکھا کھیت ہے وہ جس جگہ

میں وہاں ہوں آب جو کا رہ گزار

یہ جو عالم ہے کبھی اک دیس تھا

اس سے کٹ کر بن گئے کتنے دیار

خاک ہوں یا موم ہوں کیا امتیاز

شمع محفل ہوں کہ ہوں شمع مزار

حبس کے زندان میں رکھا ہے کیوں

میں تو زندانی نہیں ہوں اے فگارؔ

جگدیش راج فگار

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Jo Faqat Rahte Hon Din Ko Be-qarar

Jagdeesh Raj Figar

jo faqat rahte hon din ko be-qarar
mahwashon mein kijiye un ka shumar

jis pe sahwan ho gaya mera nuzul
zat us ki ho gai bas aab-dar

wo meri sanson ke raste ho liya
jo uTha dil se kabhi gard-o-ghubar

KHaliq-e-kaunain se kya wasta
jab mera kirdar Thahra kirdgar

din ko hun main garm shab ko sard hun
meri hasti kya nahin hai reg-zar

kashmakash jari hai jo aflak mein
dekhiye hasil ho kis ko eqtidar

aur bhi to hain yahan kitne muqim
panw dharti par na tu itne pasar

maut se kah do na is mein daKHl de
zist se hai rabt mera ustuwar

maut ka pahle hi partaw dekh lun
dil ke darpan par hai us ka inhisar

ek sukha khet hai wo jis jagah
main wahan hun aab-ju ka rahguzar

ye jo aalam hai kabhi ek des tha
is se kaT kar ban gae kitne dayar

KHak hun ya mom hun kya imtiyaz
sham-e-mahfil hun ki hun sham-e-mazar

habs ke zindan mein rakkha hai kyon
main to zindani nahin hun ai 'figar'

(368) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Jo Faqat Rahte Hon Din Ko Be-qarar written by Jagdeesh Raj Figar at UrduPoint. Jo Faqat Rahte Hon Din Ko Be-qarar is one of the masterpieces written by Jagdeesh Raj Figar. You can also find the complete poetry collection of Jagdeesh Raj Figar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jagdeesh Raj Figar' above.

Jo Faqat Rahte Hon Din Ko Be-qarar is a widely read Urdu Ghazal. If you like Jo Faqat Rahte Hon Din Ko Be-qarar, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.