Na Rang-o-bu Hai Na Kaif-o-naghma Nazar Mein Bhi Dilruba Nahin Hai, Urdu Ghazal By JaiKrishn Chaudhry Habeeb

Na Rang-o-bu Hai Na Kaif-o-naghma Nazar Mein Bhi Dilruba Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, JaiKrishn Chaudhry Habeeb. Na Rang-o-bu Hai Na Kaif-o-naghma Nazar Mein Bhi Dilruba Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Na Rang-o-bu Hai Na Kaif-o-naghma Nazar Mein Bhi Dilruba Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

نہ رنگ و بو ہے نہ کیف و نغمہ نظر میں بھی دل ربا نہیں ہے

جے کرشن چودھری حبیب

نہ رنگ و بو ہے نہ کیف و نغمہ نظر میں بھی دل ربا نہیں ہے

میں کیسے سمجھوں بہار آئی کہ غنچہ دل کا کھلا نہیں ہے

تری محبت کے خواب دیکھے تری محبت کے گیت گائے

تیری محبت میں کیا نہ پایا تیری محبت میں کیا نہیں ہے

چھپاؤں زخموں کے اپنے دل میں نہ آئے نوک مژہ پہ آنسو

کرو نہ رسوا یوں اپنے غم کو کہ یہ تو رسم وفا نہیں ہے

وہ ساز دل جو کبھی تھا چھیڑا تری نظر نے بہ ناز و شوخی

وہ اب بھی نغمہ سرا ہے لیکن نکلتی کوئی صدا نہیں ہے

وہ گزرے وقتوں کی اب ہیں یادیں سہارے جن کے میں جی رہا ہوں

کہو نہ مجھ سے کہ ان میں کیا ہے یہ مجھ سے پوچھو کہ کیا نہیں ہے

نہ جانے تیری تلاش میں کیوں بھٹک بھٹک کر میں رہ گیا ہوں

وگرنہ ہر ذرۂ زمیں پر جہاں ترا نقش پا نہیں ہے

حیات کی شام کاش میری تری ہی یادوں میں بیت جائے

کہ وقت آخر یہ کہہ سکوں میں کہ زندگی سے گلا نہیں ہے

یہ بغض و نفرت کے شعلے ہر سو بنا رہے ہیں وطن کو دوزخ

ہمیں ہیں چپ چاپ اور بے حس کہ جیسے کچھ بھی ہوا نہیں ہے

مجھے ضرورت حبیبؔ کیا ہے چراغ دیر و حرم کی آخر

جو دل میں بھڑکا تھا شعلۂ غم وہ جل رہا ہے بجھا نہیں ہے

جے کرشن چودھری حبیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Na Rang-o-bu Hai Na Kaif-o-naghma Nazar Mein Bhi Dilruba Nahin Hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

na rang-o-bu hai na kaif-o-naghma nazar mein bhi dilruba nahin hai
main kaise samjhun bahaar aai ki ghuncha dil ka khila nahin hai

teri mohabbat ke KHwab dekhe teri mohabbat ke git gae
teri mohabbat mein kya na paya teri mohabbat mein kya nahin hai

chhupaun zaKHmon ke apne dil mein na aae nok-e-mizha pe aansu
karo na ruswa yun apne gham ko ki ye to rasm-e-wafa nahin hai

wo saz-e-dil jo kabhi tha chheDa teri nazar ne ba-naz-o-shoKHi
wo ab bhi naghma-sara hai lekin nikalti koi sada nahin hai

wo guzre waqton ki ab hain yaaden sahaare jin ke main ji raha hun
kaho na mujh se ki un mein kya hai ye mujh se puchho ki kya nahin hai

na jaane teri talash mein kyon bhaTak bhaTak kar main rah gaya hun
wagarna har zarra-e-zamin par jahan tera naqsh-e-pa nahin hai

hayat ki sham kash meri teri hi yaadon mein bit jae
ki waqt-e-aKHir ye kah sakun main ki zindagi se gila nahin hai

ye bughz-o-nafrat ke shoale har su bana rahe hain watan ko dozaKH
hamin hain chup-chap aur be-his ki jaise kuchh bhi hua nahin hai

mujhe zarurat 'habib' kya hai charagh-e-dair-o-haram ki aaKHir
jo dil mein bhaDka tha shoala-e-gham wo jal raha hai bujha nahin hai

(437) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Na Rang-o-bu Hai Na Kaif-o-naghma Nazar Mein Bhi Dilruba Nahin Hai written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb at UrduPoint. Na Rang-o-bu Hai Na Kaif-o-naghma Nazar Mein Bhi Dilruba Nahin Hai is one of the masterpieces written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb. You can also find the complete poetry collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb' above.

Na Rang-o-bu Hai Na Kaif-o-naghma Nazar Mein Bhi Dilruba Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Na Rang-o-bu Hai Na Kaif-o-naghma Nazar Mein Bhi Dilruba Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.