Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae To Us Se BaDh Kar KHushi Nahin Hai, Urdu Ghazal By JaiKrishn Chaudhry Habeeb

Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae To Us Se BaDh Kar KHushi Nahin Hai is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, JaiKrishn Chaudhry Habeeb. Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae To Us Se BaDh Kar KHushi Nahin Hai comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae To Us Se BaDh Kar KHushi Nahin Hai on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

تری محبت میں غم جو آئے تو اس سے بڑھ کر خوشی نہیں ہے

جے کرشن چودھری حبیب

تری محبت میں غم جو آئے تو اس سے بڑھ کر خوشی نہیں ہے

وفا کی منزل کے خار میں بھی گلوں سے کم دل کشی نہیں ہے

نہ تجھ میں جرأت ہے رند کی سی نہ تجھ میں وسعت دل و نظر کی

عظیم شے ہے یہ رسم رندی یہ صرف بادہ کشی نہیں ہے

لباس نو میں ہوس نے آ کر مذاق حسن و نظر ہیں بدلے

وہ عشق میں ہے نہ سرفروشی وہ حسن میں دلبری نہیں ہے

تجھی سے گرمی تھی محفلوں کی تجھی سے تھی وہ چمن کی سیریں

نہیں وہ محفل میں لطف باقی گلوں کے لب پر ہنسی نہیں ہے

نہیں یہ ممکن کہ اس کے در سے تو خالی دامن ہی لوٹ جائے

طلب ہی تیری ہے خام اب تک نظر بھی در پر جمی نہیں ہے

خرد کی گو ہیں ہزار آنکھیں ہے دل کی صرف ایک آنکھ لیکن

جو دل کی بجھ جائے شمع الفت تو پھر کہیں روشنی نہیں ہے

غم آشنا تیرا دل نہیں ہے تو آئے اس میں گداز کیسے

جو ساز دل کا نہیں ہے ٹوٹا تو اس میں پھر نغمگی نہیں ہے

کرو گے کیا تم حبیبؔ آخر حیات طول و طویل لے کر

تبسم گل کے ایک لمحے میں کیا کوئی زندگی نہیں ہے

جے کرشن چودھری حبیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae To Us Se BaDh Kar KHushi Nahin Hai

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

teri mohabbat mein gham jo aae to us se baDh kar KHushi nahin hai
wafa ki manzil ke KHar mein bhi gulon se kam dil-kashi nahin hai

na tujh mein jurat hai rind ki si na tujh mein wusat dil-o-nazar ki
azim shai hai ye rasm-e-rindi ye sirf baada-kashi nahin hai

libas-e-nau mein hawas ne aa kar mazaq-e-husn-o-nazar hain badle
wo ishq mein hai na sarfaroshi wo husn mein dilbari nahin hai

tujhi se garmi thi mahfilon ki tujhi se thi wo chaman ki sairen
nahin wo mahfil mein lutf baqi gulon ke lab par hansi nahin hai

nahin ye mumkin ki us ke dar se tu KHali daman hi lauT jae
talab hi teri hai KHam ab tak nazar bhi dar par jami nahin hai

KHirad ki go hain hazar aankhen hai dil ki sirf ek aankh lekin
jo dil ki bujh jae sham-e-ulfat to phir kahin raushni nahin hai

gham-ashna tera dil nahin hai to aae us mein gudaz kaise
jo saz dil ka nahin hai TuTa to us mein phir naghmagi nahin hai

karoge kya tum 'habib' aaKHir hayat-e-tul-o-tawil le kar
tabassum-e-gul ke ek lamhe mein kya koi zindagi nahin hai

(425) ووٹ وصول ہوئے

You can read Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae To Us Se BaDh Kar KHushi Nahin Hai written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb at UrduPoint. Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae To Us Se BaDh Kar KHushi Nahin Hai is one of the masterpieces written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb. You can also find the complete poetry collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb' above.

Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae To Us Se BaDh Kar KHushi Nahin Hai is a widely read Urdu Ghazal. If you like Teri Mohabbat Mein Gham Jo Aae To Us Se BaDh Kar KHushi Nahin Hai, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.