Dard Minnat-kash-e-darman Ho Zaruri To Nahin, Urdu Ghazal By JaiKrishn Chaudhry Habeeb

Dard Minnat-kash-e-darman Ho Zaruri To Nahin is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, JaiKrishn Chaudhry Habeeb. Dard Minnat-kash-e-darman Ho Zaruri To Nahin comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Dard Minnat-kash-e-darman Ho Zaruri To Nahin on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

درد منت کش درماں ہو ضروری تو نہیں

جے کرشن چودھری حبیب

درد منت کش درماں ہو ضروری تو نہیں

زخم مرہم کا ہی خواہاں ہو ضروری تو نہیں

دل کی گہرائی میں داغوں کے چمن کھلتے ہیں

میرا ہر زخم نمایاں ہو ضروری تو نہیں

آگ ہے دونوں طرف گرچہ برابر کی لگی

پھر بھی مجھ سا وہ پریشاں ہو ضروری تو نہیں

ہجر میں تیرے تصور کے مزے کیا کہنے

ہر کوئی دید کا خواہاں ہو ضروری تو نہیں

منتظر میں ترے آنے کا رہوں گا ہر دم

جھوٹا ہر اک ترا پیماں ہو ضروری تو نہیں

دل حب الوطنی چاہوں میں جسے وہ بھی تو چاہے مجھ کو

پورا ایسا کبھی ارماں ہو ضروری تو نہیں

موت آتی ہے کبھی مادر مشفق کی طرح

اس سے ہر شخص گریزاں ہو ضروری تو نہیں

عشق نے ناصح مشفق کی سنی ہی کب تھی

عقل ہی دل کی نگہباں ہو ضروری تو نہیں

کھیتے کس واسطے کشتی ہمیں ہو ساحل ساحل

نہ یہاں خطرۂ طوفاں ہو ضروری تو نہیں

میں سمجھتا تو ہوں انجام محبت ہمیں حبیبؔ

دل اس انجام حب الوطنی لرزاں ہو ضروری تو نہیں

جے کرشن چودھری حبیب

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Dard Minnat-kash-e-darman Ho Zaruri To Nahin

JaiKrishn Chaudhry Habeeb

dard minnat-kash-e-darman ho zaruri to nahin
zaKHm marham ka hi KHwahan ho zaruri to nahin

dil ki gahrai mein daghon ke chaman khilte hain
mera har zaKHm numayan ho zaruri to nahin

aag hai donon taraf garche barabar ki lagi
phir bhi mujh sa wo pareshan ho zaruri to nahin

hijr mein tere tasawwur ke maze kya kahne
har koi did ka KHwahan ho zaruri to nahin

muntazir main tere aane ka rahunga har dam
jhuTa har ek tera paiman ho zaruri to nahin

dil se chahun main jise wo bhi to chahe mujh ko
pura aisa kabhi arman ho zaruri to nahin

maut aati hai kabhi madar-e-mushfiq ki tarah
is se har shaKHs gurezan ho zaruri to nahin

ishq ne naseh-e-mushfiq ki suni hi kab thi
aql hi dil ki nigahban ho zaruri to nahin

khete kis waste kashti ko ho sahil sahil
na yahan KHatra-e-tufan ho zaruri to nahin

main samajhta to hun anjam-e-mohabbat ko 'habib'
dil is anjam se larzan ho zaruri to nahin

(397) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Dard Minnat-kash-e-darman Ho Zaruri To Nahin written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb at UrduPoint. Dard Minnat-kash-e-darman Ho Zaruri To Nahin is one of the masterpieces written by JaiKrishn Chaudhry Habeeb. You can also find the complete poetry collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of JaiKrishn Chaudhry Habeeb' above.

Dard Minnat-kash-e-darman Ho Zaruri To Nahin is a widely read Urdu Ghazal. If you like Dard Minnat-kash-e-darman Ho Zaruri To Nahin, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.