Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana, Urdu Ghazal By Jameela Khuda Bakhsh

Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Jameela Khuda Bakhsh. Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

ستم ہے تیرے عاشق کے لئے بیمار ہو جانا

جمیلہ خدا بخش

ستم ہے تیرے عاشق کے لئے بیمار ہو جانا

بڑی آفت ہے دل کے ہاتھ سے ناچار ہو جانا

بدل جانا نگاہوں کا تو دیکھا پر نہیں دیکھا

دل عاشق سے اس کا تیر بن کر پار ہو جانا

نصیحت سے وہ باز آتا نہیں تم باز آؤ گے

پہنچنا سامنے ناصح کے جب سرشار ہو جانا

کیا ہے اشک حسرت تو نے رسوا مجھ کو محفل میں

کہا کس نے کہ یوں میرے گلے کا ہار ہو جانا

اکیلے میں تصور خوب کرنا اس ستم گر کا

لحد میں خواب غفلت سے اگر بے دار ہو جانا

دل پر غم رقیب رو سیہ دیکھے نہیں تجھ کو

گلی میں اس کی جا کر سایۂ دیوار ہو جانا

نہیں فرقت گوارا طائر دل تم کو دلبر کے

پہنچتے ہی اسیر گیسوئے خم دار ہو جانا

خدا حافظ ہے اپنا دیکھیے کیسی گزرتی ہے

بڑی مشکل ہے راہ عشق کا دشوار ہو جانا

قدم بوسی میسر ہو کسی صورت سے اس بت کی

جمیلہؔ بعد مردن خاک کوئے یار ہو جانا

جمیلہ خدا بخش

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana

Jameela Khuda Bakhsh

sitam hai tere aashiq ke liye bimar ho jaana
baDi aafat hai dal ke hath se na-chaar ho jaana

badal jaana nigahon ka to dekha par nahin dekha
dil-e-ashiq se us ka tir ban kar par ho jaana

nasihat se wo baz aata nahin tum baz aaoge
pahunchna samne naseh ke jab sarshaar ho jaana

kiya hai ashk-e-hasrat tu ne ruswa mujh ko mahfil mein
kaha kis ne ki yun mere gale ka haar ho jaana

akele mein tasawwur KHub karna us sitam-gar ka
lahad mein KHwab-e-ghaflat se agar bedar ho jaana

Dil-e-pur-gham raqib ru-siyah dekhe nahin tujh ko
gali mein us ki ja kar saya-e-diwar ho jaana

nahin furqat gawara tair-e-dil tum ko dilbar ke
pahunchte hi asir-e-gesu-e-KHam-dar ho jaana

KHuda hafiz hai apna dekhiye kaisi guzarti hai
baDi mushkil hai rah-e-ishq ka dushwar ho jaana

qadam-bosi mayassar ho kisi surat se us but ki
'jamila' baad-e-murdan KHak-e-ku-e-yar ho jaana

(564) ووٹ وصول ہوئے

You can read Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana written by Jameela Khuda Bakhsh at UrduPoint. Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana is one of the masterpieces written by Jameela Khuda Bakhsh. You can also find the complete poetry collection of Jameela Khuda Bakhsh by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Jameela Khuda Bakhsh' above.

Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana is a widely read Urdu Ghazal. If you like Sitam Hai Tere Aashiq Ke Liye Bimar Ho Jaana, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.