Gae Waqt Par Na Ho Tabsira Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya, Urdu Ghazal By Javed Qamar

Gae Waqt Par Na Ho Tabsira Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya is a famous Urdu Ghazal written by a famous poet, Javed Qamar. Gae Waqt Par Na Ho Tabsira Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya comes under the Love, Sad category of Urdu Ghazal. You can read Gae Waqt Par Na Ho Tabsira Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya on this page of UrduPoint.

Urdu Poem English Poem

گئے وقت پر نہ ہو تبصرہ جو گزر گیا وہ گزر گیا

جاوید قمر

گئے وقت پر نہ ہو تبصرہ جو گزر گیا وہ گزر گیا

وہ بھی شاد ہے مجھے بھول کر میں بھی وقت رہتے سنور گیا

اسے دل سے کیسے نکالوں میں جو ہے آ کے دل میں ٹھہر گیا

اسے بھولنے کے خیال سے کوئی ڈر سا دل میں اتر گیا

وہ نگاہ مجھ سے بدل گیا جسے میں نے دل میں بسایا تھا

مرے دل کو جس کا یقین تھا وہ ہی وعدہ کر کے مکر گیا

مرے دل پہ اب جو یہ گھاؤ ہیں یہ ترا کرم ہے مرے صنم

تری مجھ پہ ہیں یہ عنایتیں جو اجڑ یہ دل کا نگر گیا

دل مبتلا اسے بھول جا نہ تڑپ تو اس کے فراق میں

وہ نہ آئے گا کبھی لوٹ کر جو جلا کے سپنوں کا گھر گیا

نہیں ہو سکا کسی طور بھی مرے زخم دل کا علاج پھر

دل ناتواں ترے کوچے میں مجھے لے کے شام و سحر گیا

کسی سنگ دل سے لگا کے دل بڑی بھول کی بڑی بھول کی

لگی چوٹ ایسی میں کیا کہوں مرے دل کا شیشہ بکھر گیا

مجھے یہ بتا دے تو ساقیا جسے میکدے سے گریز تھا

تری مست آنکھوں میں وہ قمرؔ یہ بتا کہ کیسے اتر گیا

جاوید قمر

© UrduPoint.com

All Rights Reserved

Gae Waqt Par Na Ho Tabsira Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya

Javed Qamar

gae waqt par na ho tabsira jo guzar gaya wo guzar gaya
wo bhi shad hai mujhe bhul kar main bhi waqt rahte sanwar gaya

use dil se kaise nikalun main jo hai aa ke dil mein Thahar gaya
use bhulne ke KHayal se koi Dar sa dil mein utar gaya

wo nigah mujh se badal gaya jise main ne dil mein basaya tha
mere dil ko jis ka yaqin tha wo hi wada kar ke mukar gaya

mere dil pe ab jo ye ghaw hain ye tera karam hai mere sanam
teri mujh pe hain ye inayaten jo ujaD ye dil ka nagar gaya

dil-e-mubtala use bhul ja na taDap tu us ke firaq mein
wo na aaega kabhi lauT kar jo jala ke sapnon ka ghar gaya

nahin ho saka kisi taur bhi mere zaKHm-e-dil ka ilaj phir
dil-e-na-tawan tere kuche mein mujhe le ke sham-o-sahar gaya

kisi sang-dil se laga ke dil baDi bhul ki baDi bhul ki
lagi choT aisi main kya kahun mere dil ka shisha bikhar gaya

mujhe ye bata de tu saqiya jise mai-kade se gurez tha
teri mast aankhon mein wo 'qamar' ye bata ki kaise utar gaya

(633) ووٹ وصول ہوئے

Related Poetry

You can read Gae Waqt Par Na Ho Tabsira Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya written by Javed Qamar at UrduPoint. Gae Waqt Par Na Ho Tabsira Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya is one of the masterpieces written by Javed Qamar. You can also find the complete poetry collection of Javed Qamar by clicking on the button 'Read Complete Poetry Collection of Javed Qamar' above.

Gae Waqt Par Na Ho Tabsira Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya is a widely read Urdu Ghazal. If you like Gae Waqt Par Na Ho Tabsira Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya, you will also like to read other famous Urdu Ghazal.

You can also read Love Poetry, If you want to read more poems. We hope you will like the vast collection of poetry at UrduPoint; remember to share it with others.